لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Moharram na bhoolna

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Dua e fatima zehra ka tumpe saaya hai..(2) Imam e Jafar e sadiq ne ye bataya hai karna khushi bhi lekin..(2) ye ghum na bhoolna.. Moharram na bhoolna.. Ya hussain..(4) 1. Ghar mein khuda dikhaye tumhare koi khushi shadi ho wo bete ki ya beti ki rukhsati tum bewa e qasim ka..(2) kabhi ghum na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 2. Qayam karo sabeelein azadaro har jagah kausar se kam nahi hai ye paani sabeel ka jaari hai iss sabeel mein..(2) zam zam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 3. Baqir ke laadle ka imamat ke phool ka farman hai ye Sadiq e Aal e rasool ka jaise ghadeer bhoole..(2) Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 4. Saqqa banao baccho'n ko ghazi ki yaad mein bachpan se hi alam ko utha kar wo chal sakein dooba hua lahu mein..(2)\ parcham na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 5. Aaram ke wo din ho ya sakhti ki raat ho ehsaas karbala ka hamesha hi saath ho tum maqtal e hussain ka mausam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 6. Har haal mein bichana hai farshe ghum e hussain milta hai isse Fatema Zehra ke dil ko chayn zakhme dil e batool ka..(2) marham na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 7. Bedi ho hathkadi ho, ya taboot aur alam saare tabarrukat e hussaini hai mohtaram tazeem inki tum bani..(2) Adam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 8. Jab apni betiyo'n ko karo pyaar momino shabbir ki yateema ka matam kiya karo khati rahi tamache wo..(2) har dam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 9. Kufe ke raasto'n mein kabhi shehr e shaam mein bazaar e aam mein kabhi darbaar e aam mein beparda thi jo ghairate...(2) Maryam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4) 10. Wajib hai tumpe Mesum o Salman Azmi matam ki janamaz bichaye jo matami nauho'n ki tum azaan pe..(2) matam na bhoolna Moharram na bhulna.. Ya hussain..(4)