لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Padar zinda hai akbar

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Haye,  haye.. Padar zinda hai akbar..(2) tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) Aisa bhi zamane mein kahi'n hota hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 1. Maqtal se janaze ko tere kaise uthayein jin haatho'n se mangi tere jeene ki duaein un haatho'n pe ab haaye tera laasha hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 2. Dil apna sambhalu'n to sina dil se nikalu phir kaampte haatho'n se tera laasha uthalu kis haal mein dekho to tera baba hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 3. Tum aankhein phira lete ho jab dard ke maare jab saans nahi lete ho haatho'n pe hamare dum saath mein mera bhi nikal jaata hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 4. Socha tha tumhe shaan se hum dulha banate..(2) afsos magar laash pe hain aansoo bahate ab khoon ka maathe pe tere sehra hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 5. Chut ta hai zaeefi mein jo bete ka sahara ab saath nahi deti hai beenayi hamara uth-ta hai padar aur kabhi girta hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 6. Zainab ko tera haal ye dikhlau to kaise mai apne gale se tujhe liptau to kaise lipta hua barchi mein tera seena hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2) 7. Nauha Ali akbar ka hai "meesum" ki zabani aakho'n se "raza" hoti hai ashko ki rawani ehsaas tere ghum ka badha jaata hai akbar tum hogaye bejaan, padar zinda hai akbar..(2)