لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Taboot hasan ka

Meesum Abbas2018
ShiaNohaLyrics
Haye... Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke..(2) ummat mita rahi hai asaar panjetan ke Paykaa'n baras rahe hai taboot par hasan ke Haye hasan, haye hasan..(2) Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2) Haye taboot hasan ka... taboot hasan ka Ghar laut ke aaya hai, taboot hasan ka Teero'n ne sajaya hai, taboot hasan ka..(2) Haye taboot hasan ka... taboot hasan ka 1. Shabbir ye kehte the shabbar ke janaze par..(2) kyu'n khoo'n mein nahaya hai taboot hasan ka... 2. Ujla tha kafan lekin bedard laeeno ne..(2) khoo'n rang banaya hai.. taboot hasan ka 3. Ek duniya mukhalif thi puche koi sarwar se..(2) kis tarha uthaya hai taboot hasan ka... 4. Jab teero'n ki barish thi aye shahe najaf tumne..(2) girne se bachaya hai.. taboot hasan ka... 5. Mehsoos ye hota hai taboot ki chadar se..(2) zainab ne banaya hai.. taboot hasan ka... 6. Aye binte nabi tumne khud aake baqayya se..(2) aankho'n se lagaya hai... taboot hasan ka... 7. Pehlu mein mohammad ke rakhne na diya laasha..(2) baahar se dikhaya... taboot hasan ka... 8. Ashaab e nabi koi pohche na janaze mein..(2) jaise ke paraya hai.. taboot hasan ka... 9. Amm ko salami jo deni thi baqayya mein..(2) rukta hua aaya hai.. taboot hasan ka... 10. Rehan ka meesum ka ye dil hai azakhana..(2) is dil mein basaya hai.. taboot hasan ka...