لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Safar e ishq e hussain

Meesum Abbas2019
ShiaNohaLyrics
Lo agaya bulawa Ya Hussain....(2) Sultan e Karbala ka Ya Hussain...(2) Jaaga hain muqaddar phir Ya Hussain...(2) Mehmaan e Karbala ka Ya Hussain ....(2) Jaldi qadam badhao, Aye Aashiqan e Maula Hain muntazir tumhari, Karbobala me Zahra Karbobala me Zahra ....(2) Sarhad pe Karbala ki, Abbas bhi khade hain Thaame hue alam ko, tum se yeh keh rahe hain Tum se yeh keh rahe hain.....(2) Khushamdid, Khushamdid, Aye Zaaeron Khushamdid...(2) Safar e Ishq e Hussain....(4) (1) Woh ek saltanat e ishq, naam Karbobala Azal se parcham e Abbas hain nishaan jiska Jaha pe naqsh hain Maula Hussain ka sajda Waha pe karne ko sajda..(2) Bula rahi hain Karbala, Bula rahe Hain Hussain Safar e ishqe Hussain....(4) (Khushamdid, khushamdid, aye zaaeron khushamdid).... (2) Baghair izn yaha koi aa nahi sakta Ho khush naseeb ke tum aa rahe ho Karbobala Jo zaaereen me shaamil tumhara naam huwa Karona shukr ka sajda....(2) Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain Safar e ishq e Hussain....(4) Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid..... (3) Safar naseeb nahi sabko yeh Khuda ki qasam Hussain rakhte hain khud apne zaaeron ka bharam Agar magar nahi socho badhao apne qadam Zara bhi der na karna....(2) Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain Safar e ishq e Hussain...(4) Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid.. (4) Yeh Karbala ka safar, bakhuda mawaddat hain Ajeeb tarz e mohabbat hain yeh ibadat hain Har ek munkir e Shabbir se baghawat hain Na rok payegi duniya....(2) Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain Safar e ishq e Hussain ...(4) Khushamdid khushamdid, Aye zaaeron khushsamdid.…. (5) Yeh Karbala hi batayegi imtehaan hain kya Najaf se Karbobala ke safar ki shaan hain kya Sabhi hain ek se, boodhe hain, aur jawaan hain kya Har ek lab pe hain naara...(2) Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain Safar e ishq Hussain....(4) Khushamdid khushamdid, aye zaeeron khushamdid.... (6) Habib ne hain yeh zauja se apni farmaya Bulawa aisa kisiko kabhi nahi aya Hussain ne mujhe khat bhejkar hain bulwaya Mujhe hain farz nibhana....(2) Bula rahi hain Karbala, bula rahe hain Hussain Safar e ishq e Hussain....(4) Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid..... (7) Rihayi Shaam ke zindaan se haram ko mili Tadap ke reh gayi us waqt haye Binte Ali Larazte lehje me Abid ne jab sada hain yeh di Khudara utho Sakina....(2) Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain Safar e ishq e Hussain...(4) Khushamdid khushamdid, aye zaeeron khushamdid.. (8) Haa is zameen pe Firdausi silsile hoge Bashar ki shakl Malaaek ke qaaflein hoge Jo zaaereen ki khidmat ke waaste hoge Naseeb dekho tumhara..(2) Bula rahi hain Karbala, Bula rahe hain Hussain Safar e Ishq e Hussain ...…(4) Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid... Itni aasani se tum log karoge yeh safar Par suno Aale Mohammad ke safar Ka manzar Nahi pani ki sabeelein thi, na saya, na shajar Shaah ke kunbe pe baraste rahein har dam patthar Uski behnon ka tha rassi me gala Na tawan beta hain kaanton pe chala Paani beti ko mayassar na hua Khud woh naize pe tadapta hi raha...(2) Dekho par Mesum o Salwar kareemi yeh zara Apne zawwaron ko deta hain woh ab bhi yeh sada Khushamdid khushamdid, aye zaaeron khushamdid....