لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Zafar e Jinn

Meesum Abbas2019
ShiaNohaLyrics
Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (1) Ghulam e Fatah e Beerul Alam, main Zafar hu Qaum e Jinnat ka Shah e Umam, main Zafar hu Khaas mujh par hain Ali (a.s.) ka karam, main Zafar hu Aaj rota hu magar Thaam kar apna jigar Dasht me mara gaya Mere Aaqa (a.s.) ka pisar (a.s.) Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn .....Suno main tumko batata hu waqea Jo hua ....Roz e Ashoor tha, pehla hua tha raaj mera .....Woh mere jashn ka din tha, saja tha taaj mera (2) Do ghulamon ne mere aake kaha, aye Malik Jiske baba ke sabab taj mila, aye Malik Qatl hota hain jo Malik, hain tera aye Malik Hogaya hashr bapa Taaj pairon me gira Apne lashkar ko liye Main chala Karbobala Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (3) Meri parwaaz Meri parwaaz hui shehr e Musayyab pe tamam Mujhko ta hadd e nazar aya nazar lashkar e Shaam Main badha aage, ke mil jaye mujhe mere Imam (a.s.) Ruk gaye mere qadam..Ruk gaye mere qadam ... Jaha Shabbir (a.s.) ko insaanon ne tanha dekha Meri aankhon ne waha laakhon ka majma dekha Ambiya bhi the, Malaek the ajinnah the khade Aisi noorani bashar the ke nazar na thehre Ek jaanib the Rasool (s.a.w.a.) e Arabi, Ek jaanib the Ali (a.s.), Ek jaanib the Hasan Ibn e Ali (a.s.) Phir na aankhon ko meri taab rahi, Maine Zahra (s.a.) ki sawari dekhi Apni nazron ko jhukakar, jo hataya peeche Nabi Adam (a.s.), Nabi Moosa (a.s.), Nabi Haroon (a.s.) dikhe Isa (a.s.) o Yusuf (a.s.) o Yaqoob (a.s.) bhi  pehlu me mile Hud (a.s.) aur Lut (a.s.) kahi, Nuh (a.s.)  kahi, Khizr (a.s.) kahi Zikriya (a.s.), Yarmiya (a.s.) aur Shees (s.a.) o Sulaiman (a.s.) bhi the Mukhtasir yeh ke Nabi saare waha the maujood Unke peeche thi Malaek ki qatarein maujood Farishte gaan e Jahannum, farisht e gaan e Behisht Israeel, Israfeel, Mikaeel, Dardaeel Rizwan aur Maalik, Fitrus wa Jibraeel (4) Saath Shabbir ke maujood the sab Aali Maqaam Maine Socha ke kaha jaye bhala adna Ghulam Mujhko pehchaan bhi paye ya Nahi mere  Imam Haye ummeed mere dil me murjhane lagi Ke achanak wahe se yeh sada aane lagi Aao Zafar, Aao Zafar Aao Zafar tumhe Shabbir ne bulwaya hain Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (5) Pohoncha qadmon me kaha Maula Shah e Jinn o Bashar Ho salaam aap pe is jinn ka Shah e Jinn o Bashar Hukm pe aap ke hu fidya Shah e Jinn o Bashar Dil mera doob gaya Jab yeh Maula ne kaha Tum palat jaao agar Hone aaye ho fida Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (6) Maine Maula se kaha izn mujhe de Shah e Deen Bole Shabbir yeh Jinnat ki hain jung nahi Main yeh bola kaha insaan hain, darinde hain sabhi Bole Shabbir ke Nana ki yeh ummat hain meri Inhe tum kuch na kaho, Inhe tum kuch na kaho Tum hi batlao jiyu kaise bhala main Zafar Aao dikhlau tumhe Karbobala main Zafar Janisaaron ke janaze dekho Mere pyaaron ke yeh laashe dekho Tukde Qasim ka sarapa dekho Zakhmi Akbar ka kaleja dekho Kahi Abbas ke bazu, Kahi Asghar ka gulu Ran me bikhra hain sabhi Bani Hashim ka lahu Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (7) Dil ko ab taab nahi, phatne laga hain yeh jigar Isse aage main bayan kar nahi sakta manzar Mukhtasir yeh ke hue qatl Shah e Jinn o Bashar Wada Abid se kiya Main hu masroof e Aza Jab talak zinda raha Main karuga girya Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn (8) Tha yahi Mesum o Salman kalaam e Zafar Karbala me hain jaha dafn Imam e Zafar Usse kuch dur hain maujood Maqaam e Zafar Zafar e Jinn ne kiya Apne wade ko wafa Aakhri saans talak Thi labon par yeh sada Hai yeh afsos me maujood raha Jaan Maula (a.s.) pe fida kar na saka Haaye kuch Kar na saka Zafar e Jinn Ana Zafar e Jinn Zafar e Jinn