لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Askari maula

Meesum Abbas2020-21
ShiaNohaLyrics
Haye..Haye Ye ghum wo ghum hai ke, dono jahaan rote hai yateem aaj imam e zamaan hote hai Haye hasan askari maula.. haye hasan askari maula.. Haye hasan askari maula.. haye hasan askari maula.. Aye bin e zahra, askari maula..(2) shahe samarrah, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(2) 1. Haaye qayamat ki ghadi aagayi kaisi saaye se mehroom tere hogaye Mahdi hoke juda rota raha aapka beta aye mere baba, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 2. {Kaisa aseeri ka sitam tum pe hua hai tere liye ghar tera zindaan bana hai}..(2) maula tera ghar mein hua dafn janaza haye ghurbata, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 3. Samarrah har saal chale aate hai zawwar aapka taboot uthate hai azadaar farshe azaa bichta raha bichta rahega lijiye pursa, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 4. Saare azadaro ke lab par ye dua hai waasta tujhko tere bete ka diya hai dil mein basa roza tera, Mahdi ke baba humko bulana, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) Askari Maula, Hasan ..(4) 5. Qaidi e Mazloom mere gyarwe(11) sarkar dene ko pursa tumhe aaye hai azadaar pursa qubool ho aye mere sayyed o sardaar humlog tere nazre karam ke hai talabgaar ghum ye tera dil mein sada uthta rahega roti hai duniya, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 6. {Jab bhi tere naam ki hoti hai ye majlis saath mein zahra ke chali aati hai narjis}..(2) dekhiye zara mehwe buka hai teri zaujah karti hai nauha, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 7. Parda e ghaibat mein jo beta hai tumhara bheje use jald pareshan hai duniya sunlo dua behre khuda warise kaaba hai ye ilteja, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3) 8. Mesum o azlan pe bus itna karam ho naam tere chahne walo mein rakam ho kardo ataa hum ko sila nauhe ka maula khwab ho pura, askari maula Aye bin e zahra, askari maula..(3)