لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bibi Qubool Karain

Meesum Abbas2020-21
ShiaNohaLyrics
Bekas Pe Rone Waalon Ka Hadiya Qubool Ho Ya Fatima Hussain Ka Pursa Qubool Ho Ya Fatima Zehra, Ya Fatima Zahra Saf e Gham Bicha Kar Ye Maangi Dua, Bibi Qubool Kare, Bibi Qubool Karain Ye Majlis Ye Matam Ye Ashke Aza, Bibi Qabool Karen Bibi Qubool Karain Gham e Sheh mai sab kuch lutaate rahe, Gharibi mai thi ghum manaate rahe Hain aise bhi tangdast ahle aza, Tabarruk mai paani pilaate rahe Tabarruk jo baanta to bus ye kaha… Bichaya hai jab ghar me farsh e aza, sajaya azakhana Shabbir ka Alam nasb karte huay meri maa, Bahaati thi aankhon se ashk e aza Aur uske labon par thi bus ek dua… Salamat rahen pur mahan matami, Qamazan ye zanjeerzan matami Kabhi khaak uraate hain rote huay, Ye kehte hain khooni badan matami Lahu ka ye pursa jo hum ne diya.. Ye hai ishqe Shabbir ki ek daleel, Sajayen alam ya banayen sabeel Sabeelon pe likh kar Sakina ka naam, Aqeedat ko karte hain apnø wakeel Pilaate hain paani ye karke dua… Ye soz o salam aur ye marsiya, Ye seena zani aur aaho buka Masayib ka izhaar karte huay, Lute ghar ka Bibi ko pursa dia Ye jumla hameysha labon par raha… Shabih e alam aur taboot par, Kabhi Zuljanah par huay nauhagar Kisi haal mai bhi hon Ahle Aza, Na rukne diya majlison ka safar Nahi karsake haq e girya ada… Vo maulayi maayen hain ek sayiban, Mile jinki aaghosh mai nohakhwan Jo bachon ko saqqa banaati raheen, Sajaye huey bawafa ka nishan Ye unki aqeedat ye tarz e wafa… Vo pur gham azadar vo matami, Nahi jaasake Karbala jo kabhi Bapa chaar logo me ki majlisain, Imam e Zamana se faryad ki Ye zikr e Shehenshah e Karbobala… Ye koshish hai Mesum ki Mazher kaho, Koi ek noha to aisa bhi ho Na ho jisme shohrat ki khwahish zara, Kabhi aisi khaalis ibaadat bhi ho Uthakar kahain sab hi dast e dua…