لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jibreel aur Karbala

Meesum Abbas2020-21
ShiaNohaLyrics
Haa.... Jab tisri shaban ko aya gul-e-Zahra (sa) Shabbir (as) ko godi me Muhammad (saws) ne uthaya Haddar jo khushi se rukh-e-masoom ko dekha Itne me sada dar pe yeh Jibreel (as) ki aayi Ya saiyadi qurbaan duhayi hai duhayi Kehte Jibreel(as) laya hu mehzar Ya Nabi salamalayka 3 1) Loh-e-mehfooz ek ek satar laya hu Ek tehrir hai purdard magar laya hu Ek safar nama-e-magh mu-e-jigar laya Din khushi hai magar ghum ki khabar laya hu Dil me hai khanjar Loha zaba'n par Saiyadi -3 salamalayka 2)Sath mehzar ke me wo khaak-e-shifa laya hu Saari duniya ke liye ghum ki dawa laya hu Umme Salma(sa) ki zaaefi ka asa laya hu Yani rumaal me maqtal hi chhupa laya hu ispe girega khoon-e-bahattar Saiyadi -3 salamalayka 3)Sunke Jibreel(as) ki faryad Muhammad (saws)ne kaha kya hai mehzar me likha-2 mujhko sunao to Zara Roke kehne laga Jibreel(as)meri jaan fida Aapke pyaare nawase ka shahadatnama Karbobala main jaayga dilbar Saiyadi-3 salamalayka 4)Bole Jibreel(as) padho mehzar-e-ghum bade salam Isme shamil hai shahido ke asiro ke bhi naam Akraba ahl-e-haram chand kanizo aur gulam Koi maqtal me rahega to koi jaayga shaam Koi hai be sar koi khule sar Saiyadi-3 salamalayka 5)Roz-e-jumma hai likha aur san iksath hijri Aap ke pyaare nawase ki shahadat hogi Aap honge na Hasan(as) honge na Zahra(sa)-O-Ali(as) Sunke Halmin ki sadae bhi na aayga koi Hoga akela naaz sh-e-Haidar(as) Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3 6)Ya Nabi(saws) aapki ummat yeh sitam dhaygi Jab su-e-Karbobala Shah(as) ko bulwaygi Aapki aar Madine me na reh paygi Aapke baad yeh duniya hi badal jaygi Jaayge maqtal chhordh ke jab ghar Saiyadi-3 jaan Hussain(as)-3 7)Joun(as)-o-Hur(as) aur Habib(as) ibne Mazahir Asadi Kaise jaabaz wafadar hai Wehbe kalani Qasim(as)-o-Akbar(as)-o- Abbas(as) alamdar-e-jari Haye Asghar(as)-o-Aun(as)-o- Muhamma(as) bhi hai kamsin hi sahi Shamil-e-mehzar hai yahi lashkar Saiyadi-3 salamalayka 8)Haye ab dekhiye Jibreel(as) ki aakho'n se yeh manzar Ashur ki woh subeh azan-e-Ali Akbar(as) Ek pyase ko har simt se ghere hai sitamgar Wo naiza wo paikan wo talwar wo khangar Maqtal ke wo muazir ka Laasha sar-e-maqtal Barchi ka nishaa'n sine pe ek tuta hua pal Talwar se ek turbat-e-besheer ba nana Turbat pe phir ek soya hua chand chhupana Phir kaapte hoto se yeh zamee'n ko yeh batana Asghar(as) tera mehma'n ise jhoola jhula na Pani jo maya sar na hua haya duhai Ashko rida turbat-e-Asghar(as) chadhai Wo asr ka hangam ghadhi qatl ki Jab Shimr(la)ne ek pyase pe talwar chalai Ek ret ke tire pe gayi Zahra(sa) ki Maqtal me behen ro ti rahi Naize pe bhai Manzar wo baya'n kaise kare "Mesum o Mazhar" Baba se kaha Fatema Zahra(as) yeh rokar Are loot jayga jab dasht-e-bawa me mera ghar Roe go kaun bhala mere bachche jakar Beti se farmane lage Ahmad-e-Mukhtar Ta hashr ise roe ge duniya me azadar