لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ghazi ki kahani

Meesum Abbas2020
ShiaNohaLyrics
Aye alam daar e wafa.. (2) aye baab e hawaij Kehti hai azadaar ki ashko ki rawani matam ki hai awaaz, tapakta hua paani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) bachpan pe sakina ke fida kar di jawani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 1. Abbas kabhi kuch bhi nahi maanga hai tum ne jab mashk chhidi tumne dua maangi ye rab se aajaye isi waqt, agar maut hai aani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 2. Sarwar ne kaha jung nahi karni hai bhaiyya yu hukm pe shabbir ke sar tumne jhukaya aati hi nahi jaise tumhe tegh chalani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 3. Bhai ko sadaa aaqa kaha bhai na bola bachpan mein yehi wada to madar se kiya tha har baat ghulamo ki tarha bhai ki maani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 4. Hairaan wafa hogayi jab dekha ye manzar tum pyaase palat aaye ho darya mein utar kar aasan thi jis waqt bohot pyaas bujhani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 5. Sar aap ka rehwaar ki gesu mein bandha tha naize pe bulandi bhi nahi tujh ko gawara sar shaah ke aage na uthane ki hai thaani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..(2) 6. Hai arsalan o meesam ye soch ke rote zakhmo se lahu aise bahaa ghazi tumhare jis tarha baha mashk e sakina se tha paani Hai teri wafao ki ajab ghazi kahani..