لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Lanat Bar Dushmane Zahra

Meesum Abbas2020
ShiaNohaLyrics
Allahumma Laan Qatalata Fatema Zahra (s.a) Lanat Bar Dushmane Nabi, Lanat Bar Dushmane Ali, Lanat Bar Dushmane Zahra! Ya Sayyeda ...4 Laanat Bar Dushmane Zehra 1. Ay Ahle aza aao suno ghum ka ye qissa, Jis beti ko keh-te the Nabi Umme Abiha Ummat ne usse bad-e-Nabi khoob rulaya Darbar me makhdooma e alam ko bulaya Aaj talak roti hai duniya, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 2. Kya ajr e risalat ye Muhammad (s) ko mila he Us ghar ko jala dala, jahan deen pala he Shehzadi pe jalta huwa darwaza gira he Ay momino sar peeto ye gham sab se bada he Ghurbat e Haidar ka khulaasa, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 3. Socho toh Musalmano sitam aysa huwa kyun Shehzadi ko darbaar me bulwaya gaya kyun Siddiqa e konain ko jhutlaya gaya kyun "Mai jhoot nahi bolti" ye kehna para kyun Dil ye tumhara bhi kahe ga, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 Laanat Be Dushmane Ali...4 4. Tareekh me mil ta he qayamat ka ye manzar Jab ghusl o kafan dene lage Zahra ko Haidar Jis waqt nazar aya unhe pehlu shikasta Ek cheekh uthi zor se rone lage Maula, Nauha he ye sher e khuda ka, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 Be Fatemata...4 5. Is gham ke tasawwur se laraz-ta he mera dil Jo log muslaman the sab ho gaye baatil Naam unke tabarre me kiya kar ta hun shamil Mohsin ke bhi qatil hein woh, Zahra ke bhi qatil Hashr talak me toh kahunga, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 6. Baad e paighambar e Islam raha kuch bhi nahi Us ki taqdeer me matam ke siwa kuch bhi nahi Ma siwa dard ke, daman me raha kuch bhi nahi Haye kyun binte Nabi, ye sitam seh ti rahi Jab ke darwaza gira, keel baazu me chubhi Silsila barh ta gaya, bass gayi Karbobala Chal gayi Shah pe churi, aa gayi sham e jafa Laanat..... 4 7. Ek roz me Zahra ka bhara ghar huwa barbaad Mardon me faqat zinda bache Baqar o Sajjad Sab qaidi bane Shaam chale, maai’le faryaad Darbar me zalim ke gayi Zainab e nashaad Kehti rahi saaniye Zahra, haan badi mazloom he Zahra Laanat..... 4 8. Mismaar baqayyah me huwa marqad e Zahra Is gham me likha Mazhar o Mesum ne ye Nauha Ab baarwey Sarkaar banayenge woh roza Phir hoga wahan dushman e Zahra pe tabarra Goonje faza'on me ye nauha, haan badi  mazloom he Zahra Laanat..... 4 Qatilaan e Zahra pe laanat, laanat Shimr o Hurmala pe laanat, laanat Dushman e aza par laanat, laanat Dushman e wila par laanat, laanat Laanat bar Hinda jigar-khwaar         Beshumaar...Beshumaar Lanat bar  Muljim e bad-kaar           Beshumaar...Beshumaar Lanat bar Yazeed e mai-khwaar       Beshumaar...Beshumaar Lanat bar dushman e Mukhtaar       Beshumaar...Beshumaar