لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mai rahib hoon

Meesum Abbas2020
ShiaNohaLyrics
Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 1. Mai hu rahib hai maseeh mera qabila logo mere aaqa mere sardaar hai isa logo ek haqeeqat se uthata hu mai parda logo mera hussain hai isa ka maseeha logo imam e waqt ka mai intezaar karta hu halab ke dehr mein lamhe shumaar karta hu yaqeen hai ye mera, jab ayenge maula mai unke qadmo mein gir kar sada lagaunga tum pe maula mai fida jaan karu apne beto ko mai qurbaan karu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 2. Suno ke tumko sunata hu waqeya aisa meri hayaat mein aisa bhi waqt aaya tha mai la walad tha aur ummeed na thi koi mujhe huzoor paak ne ye baat khud kahi thi mujhe lauh e mehfooz ki tehreer bhi sunayi mujhe magar hussain ne us dum pisar diye the mujhe ek nahi, saath nageene ataa kiye the mujhe hai ye ehsaan bada, bhulau kaise bhala ye baat unse kahunga ke farz hai ye mera tum pe maula mai fida jaan karu apne beto ko mai qurbaan karu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 3. Dafatan qafla ek shehr e halab mein pohcha ya hussaina, ya hussaina se larazti thi fiza neend se mujhko jaga kar meri zauja ne kaha khwaab se jago ke phat-ta hai kaleja mera kaun karta hai tadap kar girya kaun kehta hai ye baba baba khwab e ghaflat se utha, aur maine ye kaha aisa lagta hai chale aaye mere ghar maula tum pe maula mai fida jaan karu apne beto ko mai qurbaan karu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 4. Sunke awaaz e jaise janib e dehleez gaya meri aankho'n ko nazar aaya qayamat ka samaa kya kahu maine ke in aankho'n se manzar dekha be rida chand aseero ko khule sarr dekha kitne suraj the jinhe nauke sina par dekha maine ek chota sa sar dil ko pakad kar dekha ek sar par nahi maujood rida ek sar sharm o hayaa se hai jhuka ek rahwaar ki gardan mein bandha ek sar bar sare nauke naiza dekh kar qafla mai aaho buka karta hu peet ke sar ko mai zaar o qataar rota hu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 5. Maine pehle bhi kahi dekhe hai aise chehre aise noorani bashar to mubahile mein hi the ya khuda naize pe jo sar hai ye wo log na ho wo jo aulad e payambar hai ye wo log na ho jinki tareef mein injeel mein bhi jumle hai wo jo chahe to pahado'n ko hila sakte hai yaqeen hai ye mera, jab aaenge maula mai unke qadmo mein gir kar sada lagaunga tum pe maula mai fida jaan karu apne beto ko mai qurbaan karu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 6. Wo jo sar natiq e qur'aan nazar aata tha do sitamgaro ka us sar pe laga tha pehra darte darte jo mai nazdeek gaya naiza bardaro se maine pucha ye jo khoo'n rota hai sar, kya hai zehra ka pisar pehra daro ne kaha, hai ye baghi ba khuda hakim e shaam ne hai, ispe in'aam rakha iske haami na bano tum rahib iske haami ka hai marna wajib mai pareshaan hua, aur ye kehne laga ek shak hai mere dil mein zara puchu isse ek lamhe ke liye baat mai kar lu isse mujhe is sar se mila do, jitni qeemat hai laga do ek shab ke liye sar se, apne pehre ko hata do jab ijazat mili phir dil ko mere aaya qaraar maine dirham bhi sipahi ko diye tees hazaar mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 7. Leke us sar ko jo mai ghar pohcha maine us sar se kaha mujhko bata batao kaun ho tum, batao kaun ho tum mai ye bola ke tera jurm hai kya wo ye bola ke Mohammad se wafa mai ye bola ke tera naam hai kya wo ye bola mujhe pehchaan zara tera mehman hu mai, tera mehman hu mai nibhane tifli ka wada.. leke sab apna mai kunbaa.. tere ghar aa gaya rahib mai payambar ka jigar hu rahib mai hi Zehra ka pisar hu rahib jisne bete tujhe bakhshe wo sakhi hu rahib ba khuda mai hi husain ibn e ali hu rahib karbala mein jo sitam toote batata hu tujhe apne beto ka bhi maqtal mai sunata hu tujhe mere abid ko lahu rulwaya haye baqir ka bachpana cheena mere akbar ko hai naiza maara mere qasim ko hai paamal kiya sar kiye aun o mohammad ke juda ye intehaa hai ke asghar pe rehem na khaaya ya hussaina, ya hussaina, ya hussaina, ya hussain..(2) mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2) 8. Sun ke rahib ye baya'n thaam ke dil rone laga aur aada ko sare shaah bhi wapas na kiya ek ek karke kiye saato pisar sheh pe fida arsalan aazmi, meesam hai wo maujood jagah sar jaha'n maula hussain ibn e ali ka tha rakha dar e rahib hai jaha'n, karna mehsoos waha'n goonjti ab bhi fizao'n mein hai rahib ki sadaa tum pe maula mai fida jaan karu apne beto ko mai qurbaan karu mai hu najraan ka rahib Mai rahib hoon.. mai rahib hoon..(2)