لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kitni mazloom hai zahra

Meesum Abbas2021
ShiaNohaLyrics
Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra Ya Zehra Phelu Shikasta, Tooti Pasliyan 2x Haye Ummat Ne Kyu'n Darbar Bulaya Kitni Mazloom Hai Zehra 1) Bad Rasul Pak Jo Zulm o Sitam Hwey Ta Marg Un Ki Ankh Sai Ansu Nahi Rukay Ankhon Kai Gird Par Gaye Halkay Batool K Yai Zulm Ghair Ne Nahi, Apno Nai Dhaye Thay Saadiyan Guzar Di Gai'en Jari Hai Wo Jafa Ahl e Aza To Aaj Bh Karty Hain Ye Buka Kitni Mazloom Hai Zehra 2) Rudad E Gham Sunau Zara Kalma Go Suno Tareekh Dai Rahi Hai Gawahi Ye Apko Aye Thay Log Aag Lai Kai Dar e Sayeda Pai Jo Esai Bh Nahi Thay, Yahoodi Nahi Thay Wo Bibi Pe Jab Giraya Dehakta Hua Wo Dar Islam Keh Raha Tha Yahi Cheekh Cheekh Kar Kitni Mazloom Hai Zehra Ya Mazlooma Ya Zehra Ya Masooma Ya Zehra 3) Khamosh BuTurab Thay, Manshaye Kibriya Darbar Mai Laaen Kai, Pohanchi Jo Sayeda Hassnain Ke Siwa Koi Hamdard Hi Na Tha Sub Jan'nisar Hogye Qatil K Hamnawa Jo Chor Kar Gye Thay Janaza Rasul Ka Kartay Bhala Rasul Ki Beti Se Kya Wafa Kitni Mazloom Hai Zehra 4) Atharwi'n Baras Mein Uthaye Hain Ye Mahan Din Rat Sayeda K Kaleejay Mai Thi Dukhan Dekhi Gulo'ey Haider e Karar Mai Rasan Roye Hassnain Zainab o Kulsoom Aur Hassan Jab Thay Ali Hisar Mai Us Din Ko Roi Hain Tanhaiyon Mai Beth Kai Mohsin Ko Roi Hain Kitni Mazloom Hai Zehra Ya Mazlooma Ya Zehra Ya Masooma Ya Zehra 5) Karwat Se Daye'n Janib Kabhi So Nahi Sakin Khoo'n Ruk Nahi Raha Tha Jo Zakhmi Huyi Jabee'n Tooti Jo Pasliyan, Sakoo'n Tha Kahin Nahi Ub Jee Nahi Sakongi Ye Zehra Ko Tha Yaqee'n Is Darja Zakhm Tha Ye Kunfaz (L) Ki Zaat Se Tasbeeh Parh Na Paye'n Kabhi Seedhe Hath Se Kitni Mazloom Hai Zehra 6) Ghusl o Kafan Ka Waqt Jo Aya Tha Bakhuda Mola Ke Ghar Qayamat e Sughra Huyi Bapa Girya Ali Ka Sun K Yai Zainab Nai ki Buka Jaa'n SecGuzar Na Jayen Kahin Shair e Kibriya Yara'n Raha Na Zabt Ka Rony Lagay Ali Phelu Ka Zakhm Daikh Kai Kheny Lagay Ali Kitni Mazloom Hai Zehra Ya Mazlooma Ya Zehra Ya Masooma Ya Zehra 7) Kuch To Batao Logon Rulaya Gaya Hai Kyu'n Makhduma e Jaha'n Ko Sataya Gya Hai Kyu'n Yai Zulm Bade Marg Bhi Dhaya Gya Hai Kyu'n Mayyat Ko Fatima Ki Chupaya Gya Hai Ky Chalis Qabar e Zehra Banai Thin Is Liye Zehra Ki Qabar Koi Musalma'n Na Daikh Le Kitni Mazloom Hai Zehra 8) Masmar Qabr e Fatima Zehra Ko Kar Diya Jari Hai Phir Bh Zulm Ka Ummat Mai Silsila Le Lu Jo Naam E Qatil Zehra To Hai Saza Sadiyon K Bad Bhi Hai Wohi Zulm Aur Jafa Socha Kabhi Nahi Gha K Yai Din Bh Ayega Parhna Hai Jurm Marqad e Zehra s.a Pai Fatehah Kitni Mazloom Hai Zehra Ya Mazlooma Ya Zehra Ya Masooma Ya Zehra 9) Mesum Ke Askh Tera Qalam Mazhar Abidi Kar Hi Nahi Sakai'n Ge Baya'n Wo Sitam Kabhi Jo Zulm Seh Gai Hai Wo Beti Rasul Ki Ta Umar Meri Bibi Azadar Hi Rahi Ro kar Hayat Kati Ghamo'n Ki Aseer Nai Likha Hai Marsiyae Mai Anees o Dabeer Nai Kitni Mazloom Hai Zehra Ya Mazlooma Ya Zehra Ya Masooma Ya Zehra