لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sakka e Sakina Abbas Abbas

Meesum Abbas2022
ShiaNohaLyrics
ABBAS ABBAS x 8 Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Do mujhko sahara Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Thehri hui nazre hai meri tere Alam par Shaq mujhko nahi koi tere lutfo karam par Tu Baab e hawaij hai nazar rakhta hai humpar Mushkil se bachana Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Bin haatho ke tum jholiya bhar dete ho maula Ehsaan karo mujhpe mai banda hu tumhara Muflis hu bohot karbobala aa nahi sakta Kya tumse chupana Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Sab ranjo alam maine zamane se chupaye Aaya hu tere saamne haatho ko uthaaye Muh mod gaye mujhse sabhi apne paraaye Dil zakhmi hai mera Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Duniya ki musibat ne mujhe gher liya hai Aaqa tera khaadim ye pareshan hua hai Tum mujhko bacha loge mujhe ye bhi pata hai Bas der na karna Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Abbas habib ibne mazahir se ye kehna Zawwaro ki fehrist me ab naam ho mera Saaman e safar bhi mera tayyar hai maula Tum mujhko bulana Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Zehra ki kasam hai meri uljhan ko mita do Ek phool alam se mere daaman me gira do Himmat mujhe mil jaaye ishaare se bata do Tum saath ho maula Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Tu bhai hai Shabbir ka haider ka hai beta Duniya me nahi itna sakhi koi gharana Teri hi sakhawat ka zamane me hai kharcha Tu dar hai ataa ka Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Sar pe nahi jin logo ke maa baap ka saya Un sabke nigehbaan tumhi ho mere maula Maadar ka hi aachal hai ye parcham ka farera Karte raho saaya Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2 Dete hai sakina ki kasam isliye maula Hai meesum o azlan ka maula ye aqidah Tum radd nahi kar sakte kabhi bhi ye waseela Hai pura bharosa Abbas Abbas Sakka e Sakina Abbas Abbas x 2