لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ye Hain Alam Abbas Ka

Meesum Abbas2022
ShiaNohaLyrics
Aye Logo Aao Tumko Batau Rehmat E Baari Tumko Dikhau Saare Jahaan Ka Hai Ek Sahara Ye Jo Alam Mere Ghar Pe Laga Hai Ye Hai Alam Abbas Ka Ghum Se Nikale, Mushkilein Taale Kaisa Wasila Rab Ne Diya Ye Hai Alam Abbas Ka Hum Ne Alam Jab Ghar Mein Sajaya Ghar Mein Rakhe Zehra Ne Qadam Door Huye Sab Ranj O Masayeb Phir Kaisi Mushkil Kaisa Ghum Daste Karam Hai, Sheh Ka Bharam Hai Jiska Koi Saani Na Mila Ye Hai Alam Abbas Ka Ye Jo Bandhi Hai Mashk E Sakina Isko Kaho Taweez E Wafa Rishta Bhatiji Aur Chacha Ka Aaj Talak Na Toot Saka Ek Kahani, Iski Zabani Sun Lo Agar Sunte Ho Sada Ye Hai Alam Abbas Ka Dekho Alam Ka Surkh Pharehra Chadar E Zainab Se Hai Bana Jo Bhi Alam Ke Saaye Mein Aya Duniya Ke Sab Ghum Bhool Gaya Ab Jaake Mana, Sara Zamana Saya Fighan Ghar Ghar Pe Hua Ye Hai Alam Abbas Ka Aisa Alam Duniya Mein Dikhao Jiski Ata Ho Rab Ki Ata Shaan E Azadari Ye Alam Hai Dekho Azakhano Mein Zara Manatain Puri, Karta Hai Sabki Zinda Hai Iske Dam Se Wafa Ye Hai Alam Abbas Ka Hamza O Jafar Ka Ye Alam Hai Hai Ye Alam Haider Ka Alam Denge Gawahi Shah E Zaman Bhi Hai Ye Mere Lashkar Ka Alam Baarwa Haider, Kaabe Ki Chhat Par Lehra Ke Isko Dega Sada Ye Hai Alam Abbas Ka Qatl Hua Jab Dariya Pe Ghazi Toot Gayi Maula Ki Kamar Laasha Nahi Sheh Laye Jari Ka Laye Alam Hi Khoon Mein Tar Beti Se Bole, Shabbir Roke Aye Nahi Dariya Se Chacha Ye Hai Alam Abbas Ka Karbobala Ke Dasht Ka Manzar Kaise Likhu Rota Hai Qalam Bad E Jari Aulaad E Payambar Nauhakuna Thi Zer E Alam Baali Sakina, Karti Thi Noha Saaye Mein Iske Aaye Qaza Ye Hai Alam Abbas Ka Panja Alam Ka Mesum O Mazhar Daste Karam Abbas Ka Hai Paal Raha Hai Saare Jahan Ko Ye Bhi Hasham Abbas Ka Hai Jisne Jo Manga, Usne Wo Paya Phir To Zamane Ko Kehna Para Ye Hai Alam Abbas Ka