لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ali Maulana Ali

Meesum Abbas2023
ShiaNohaLyrics
Ta Surat-o piwand-i jahan bud Ali bud Ta naqsh-i zamin bud zaman bud Ali bud Shahi ke wali budo wasi bud Ali bud Sultan-i sakha-o karam-o jud Ali bud Hum Adam-o hum Shish-o hum Idris-o hum Ayub Hum Yusuf-o hum Yunus-o hum Hud Ali bud Ham Musa-o ham Issa-o ham Khizr-o ham Ilyas Ham Salihe Paygambar-o Daud Ali bud Taaron Ne Abhi Ankh Na Kholin Thi Ali Tha Na Aman Ka Paigham Na Holi Thi Ali Tha Data Tha Duaien Thi Na Jholi Thi Ali Tha Khaliq Ki Zaban Kun Bhi Na Boli Thi Ali Tha Ali Mualana Ali Toote Dilon Ki Sada Ali Mualana Ali Taaj e Wilayet Tera Ali Mualana Ali Tu Hijaab e Kibriya Ali Mualana Ali Haq Ne Kiya Faisla Ali Mualana Ali Jaan Sheh Dusra Ali Mualana Ali Anghusti Pe Darwaza Khyber Ko Utahle Jo Dobte Suraj Ko Ishare Se Bulale Tufaan Ka Rukh Phair Dai Mushkil Se Nikale Jab Chahe Jahan Chahe Jise Chahe Bacha Le Kul Emaan Hai Tu Rab Ki Pehchan Hai Tu Deen Ki Jaan Hai Tu Teri Jo Fazilat Hai Woh Afsana Nahi Hai Munkir Hai Jise Teri Taraf Ana Nahi Hai Juz Zaar e Muhammad Koi Pehchana Nahi Hai Dunya Ne Tujhe Mana Magar Jana Nahi Hai Yeh Tera Jah o Hasham Sahib e Taig o Alam Hai Sab Tera Sab Pe Karam Tu Sab Se Bari Khaliq e Akbar Ki Nishani Na Uska Hai Sani Na Tera Koi Sani Kehte Hain Yeh Quran Ke Tafseer o Mani Dunya Ne Abhi Teri Haqeeqat Nahi Jani Ayatullah Bhi Tu Wajhullah Bhi Tu Asadullah Bhi Tu Hum Tere Muqalid Hai Tu Hi Rehbar e Azam Hai Noor Tera Noor Khuda Wand Do Aalam Ek Bhai Muhammad Hai Tera Noor e Mujassam Jhutlaye Meri Baat Ko Kis Main Hai Bhala Dam Hai Tu Hi Aalaa Nasb Sher Haq Tera Laqab Keh Rahe Hai Yahi Sab Doobte Suraj Ne Kaha Chand Sitaron Ne Kaha Lal Qalandar Ne Kaha Tere Liye Hamd o Sana Na Nooh Thay Na Un Ka Safina Tha Ali Tha Yasrab Tha Na Makka Na Madina Tha Ali Tha Abid Na Ibadat Ka Qareena Tha Ali Tha Jis Waqt Yeh Marna Tha Na Jeena Tha Na Ali Tha Taskeen e Dil o Jaan To Ibadat Se Mile Gi Tasdeeq Ibadat Ko Muwaddat Se Mile Gi Sajdon Ko Sand Teri Wilayat Se Mile Gi Tauheed Hamain Teri Muhabbat Se Mile Gi Jo Tujhe Maane Khuda Woh Bhi Munkir Hai Tera Yeh Aqeeda Hai Mera Parhta Hai Teri Shaan Main Quran Qaseede Alhamd Se Walnaas Talak Hai Tere Charche Quran Ki Tilawat Se Khule Raaz Ye Saare Wlfjr Bhi Wallail Bhi Walshams Bhi Tu Hai Aql Main Ata Nahi Qalb Se Jata Nahi Kiya Hai Samajh Ata Nahi Juz Tere Kiya Jis Ne Saloni Ka Yeh Daawa Jo Pochna Chaho Ge Jawab Uska Milega Hathon Ki Hateli Ki Tarah Se Hai Yeh Dunya Main Hota Tere Door Main Tu Poch Hi Leta Kun Faya Kun Ka Safar Yeh Sitaro Ka Nagr Kiya Hai Yeh Shams o Qamar Ummat Ne Tere Baad Yateemo Ko Sataya Mola Teri Aulaad Ko Hai Khoon Rulaya Ek Piyase Musafir Ka Lahu Ban Main Bahaya Zainab Ki Rida Loot Ke Khaimo Ko Jalaya Roti Thi Karb o Bala Aaye Sher e Khuda Lut Gai Ale Aba Jab Sham e Ghareeban Ki Rida Dasht Pe Chai Ghazi Ki Behan Ranj o Masaib Ki Satai Ek Tota Huwa Neza Liye Pehre Pe Aai Hathon Se Jigr Tham Tham Ke Daiti Thi Duhai Cheen Gai Meri Rida Bhai Bhi Qatl Huwa Aaye Karbabola Kehte Hai Zamane Se Yahi Mesum o Mazhar Hum Haider e Karrar Ki Dehleez Ke Naukar Rehti Hai Hama Waqt Sada Ek Ke Labon Par Is Dr Se Bara Saare Zamane Main Nahi Dar Malik e Kono Makaa;n Saat Pardon Mai Niha Hai Aqeedat Ki Azaan