لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ya Fatima

Meesum Abbas2023
ShiaNohaLyrics
“Tumne humko na bhulaya, humne tumko na bhulaya” Ya fatima salam ullah alaiha 1. Tujh pe shahzadi e kaunain meri jaan fida kya mila tujhko zamane se masaib ke siwa baad paighambar e Islam hui aur jafa cheeni jagir fidak baap ka wirsa na diya tujhko jhuthlaya gaya kitna tadpaaya gaya haye afsos Muhammad ka chaman loot liya Ya Fatima salamullah alaiha 2. Woh jo rehte the shifa’at ke talib gaar sabhi agaye ghar ko jalane woh sitamgaar sabhi tune aayaat sunadi sar e darbaar sabhi phir bhi jhutlaate rahe tujhko gunahgaar sabhi tune jab noha kiya hans diye ahl e jafa aur qur'an ki aayat ne yeh bayn kiya Ya Fatima salamullah alaiha 3. Pasliyan toot gayi jalta hua dar jo giraa aur mohsin ki shahadat ka tujhe dard mila roye is baat pe haider jo tujhe ghusl diya ta dam e marg tera haath na pehlu se hata kyun chupaya tha bhala tune yeh zakhm e jafa mai tere baad isi baat pe hu mehwe buka Ya Fatima salamullah alaiha 4. Maa chali jaaye to lagta hai khuda rooth gaya sayebaa'n koi nahi duniya mein maadar se bada meri bibi teri mayyat pe yeh beto'n ne kaha neend raaton ki gayi aap ka saya jo utha humko tadpaao nahi'n chhod ke jao nahi'n ab kahan paayenge hum aap ke a'nchal ki hawa Ya Fatima salamullah alaiha 5. Main tere naam ki tasbeeh jo padhta hu kabhi khoon rulati hai mujhe teri musibat bibi woh Ibadat woh musalle pe teri noha gari haath ek pehlu pe ek haath se tasbeeh padhi woh rukoo aur sujood teri gurbat pe durood Is aziyat mein namazein na hui teri qaza Ya Fatima salamullah alaiha 6. Ek pal ko bhi tere gham ko na mein bhool saka teri marqad ka suna phir mein baqayya pohcha woh udasi, woh andhera, woh sitamgar fiza haye marqad ki alamat ko bhi rehne na diya rauza ban jaye tera yeh hai armaan mera phir wahan jaayein ziyarat ko sabhi ahl e aza Ya Fatima salamullah alaiha