لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kehti Thi Umme Laila

Minhal Ali Rizvi2021
ShiaNohaLyrics
Kadiyal Jawaan ka laasha aaya hai khoon me tar Mujko na maut aai 1.Kuch soojta nahi hai ankhon me hai andhera Duniya se jaa chuka hai mera jawaan beta Kehti rahungi ab mai bas yeh tadap tadapkar Mujhko na maut aai 2.Sarhane Naujawaan ke roti hai umme layla Mooh chumkar pisar ka yeh keh rahi hai dukhiya Ab saari zindagi mai roungi bas yeh kehkar 3. Arshe bari pe us din mera naseeb hota kandhe pe leke chalte jab tum mera janaza Afsos maa se pehle tum margae guletar 4.Ek maa ki zindagi me yeh din kabhi na aae Bete ki laash maa ko Allah na dikhaae Meri tarah yeh kehkar roe na koi madar 5. Hathon se apne jiske gesu sawaar ti thi Jis laal ki main har dum nazre utar ti thi Mara laee na naiza us gulbanan ke dil per 6.Atthara saal jisko tha mannato se paala Nazro ke samne hai us naujawan ka laasha Hye re meri kismat hye mera muqadaar 7.Roe bahot tadap kar us waqt shahe waala Zaynab se jab lipat kar roi hai umme layla Yeh keh rahi thi dono tum margae ai Akbar 8.Waez na likh sakega us ghamzada ki halat Bas maae jaanti hai kya hai pisar ki ulfat Zinda thi umme layla jab tak yeh tha labon per