لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Haye yeh bachi

Minhal Ali Rizvi2023
ShiaNohaLyrics
haye ye bacchi kaun hai ye to sakina lagti hai aati hai maqtal ki taraf dekha hai kyun suyt najaf kya is ka dada hai Ali ye to sakina lagti hai ati hai jo roti hui sadmo say jaan khoti hui phayrti hui naad e ali ye to sakina lagti hai kyun ro ke jaan deti hai ye kyun siskiyan leti hai ye kya margaya is ka koi ye to sakina lagti hai kano say kyun khon' hai ravan uff ye tamachon ke nishan' ye zulm aur ye kamsini ye to sakina lagti hai kausar ye maqtal ki faza tarpa rahi hai dil mera taari hai gham ki teeragi ye to sakina lagti hai