لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tehrir e Hasan (AS)

Minhal Ali Rizvi2024
ShiaNohaLyrics
Tehrir e Hasan Qasim ko sheh se izne wegha jab na mil saka Aakr ke aik goshe me krne Lage buka Pahuchi nigaah shano pe apne jo barmala Khush hoke chal diye wo sue shahe karbala Dekha jo sheh ne aata hai bhai k dil ka chain Taweez-e bhai dekh ke rone Lage husain Tahreere Hasan padhte Hain sheh sir ko jhukaye Allah kisi bhai pe ye waqt na laye Likhha h Hasan ne ye baname shahe Safdar Aaye jo paye izne wegha mera dilawar Mat rokna tum Jung se qasim ko baradar Taraj jo hota hai to hojaye mera ghar Ae bhai magar tumpe koi harf na aaye Qismat me nahi tha ae akhi sath hamara Zinda jo mai hota to sipar Banta tumhara Thokar jo tumhe lgti to deta mai Sahara Krta na kbhi tumse mai ae bhai kanara Allah tumhe bhai her aafat se bachaye Maana k jawa'n h abhi qasim mera Jani Per dee'n k na kaam aaye to kaise ye jawani Kya arzu is zeest ki ye zeest hai fani Tuf aisi shujaat pe hai gir mange ye pani Bach jaye ye Dee'n chahe pisar khoo'n me nahaye Ae bhai na taqdeer kre zulm ye mujh per Qasim to rhe khaime me or qatl ho Asghar Ghalta'n ho lahu me meri zainab k gule tar Dariya se mera Bhai bhi aaye na palat kr Or yousufe shabbir sena sine pe khaye Jeeta rhe beta mera pyasi ho sakina Jeena hai agar ye hi to kis kam ka jina Ye baithe rhe khaime me ae shahe madina Or taane tumhe deta rhe shimr kameena Ye saate gham mujhko na allah dikhaye Minhal jo tahreere Hasan padh chuke maula Suhail bhatije se ye bole shahe wala Hai hukm jo bhai ka to shabbir kahe kya Jao mere bete k khuda ko tumhe sounpa Kis kis ki husain ibne ali lash uthay