لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain Zinda Hai

Minhal Ali Rizvi2025
ShiaNohaLyrics
Hussain Zinda Hai Ye Sara zamana kahta hai Hussain Zinda h Hussain Zinda h Masjid ka musalla kahta hai Husain Zinda h Ghazi ka ye parcham h yaaro is parcham ki h shan juda, Go kitni chali batil ki hawa lekin ye kabhi bhi jhuk na saka Kate gye kitne hath magar her daur me h ye uthta rha Parcham ka pharahra kahta hai Hussain Zinda h Hum khulq hue h iske liye pahchan hamari hai matam Saman h hamari bakshish ka or shan hamari hai matam Hai Deen yahi eeman yahi or jaan hamari h matam Her matami dasta kahta hai Hussain Zinda h Gar shahe huda na hote to ye deeno shareeyat na hoti Islam k gulshan men harghiz eeman ki nikhat na hoti Is deene Ilahi me baqi sarkar ki seerat na hoti Ye khanaye kaba kahta hai Husain Zinda h Her saal ghareeb k chehallum ko jab shah k shaida jate hai Taqdeer sanwarti h unki or hur sa muqaddar pate hain Her ashke aza k badle wo jannat men ghar banwate hai, Labbaik ka nara kahta hai Hussain Zinda h Tha sham fateh zainab ne kiya ye sham rahega zainab ka kitne Hakim hi badal jaye per naam rahega zainab ka, Is shaher ki her ik galiyon me paigham rhega zainab Zainab ka ye rauza kahta hai Hussain Zinda h Ghaibat me Kiya krte hain imam akbar ki jawani ka matam 6 maah k phool se bache ki us tashnadahani ka matam Zainab k jiyalo ka matam farwa ki nishani ka matam Qayem ka ye rona kahta hai Husain Zinda h Minhal suhail Abid ne diya khutba jo ali k lahje me Thi gung padi hakim ki zaba'n or aada the khamosh khade Be sakhta sab ahle shami ek dusre se ye kahne lage Sajjad ka khutba kahta hai Hussain Zinda h