لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aaj raza ka hai matam

Mir Abid Ali2018
ShiaNohaLyrics
Matam karlo ahle aza lab pe taqi ke tha nawha Shahe qurasan ka hai gham  Aaj raza ka hai matam 1. Chaayi jaha pe gham ki ghata ; Aaj bichaalo farshe aza Aankh taqi ki hai purnam   ; Aaj raza ka hai matam 2. Aaj taqi ko do pursa  ; Baap ke gham me aye beta Gham me nikaljaaye na dam ; Aaj raza ka hai matam 3. Roye bete bhai bahan ; bole taqi ba ranjo mehan Margaye baba rahgaye hum  ; Aaj raza ka hai matam 4. Fathema deti hai ye sada ; bhai hua hai hum se juda Marke mitega ab ye gham ; Aaj raza ka hai matam 5. Khaak udhati hai zahra  ; khabr me kahte hai maula Kaisa hai ye ranjo alam ; Aaj raza ka hai matam 6. Zaher ka tha anwar ye asar ; girta tha tukde hoke jigar Nikla pisar ke aage dam  ; Aaj raza ka hai matam