لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hum to tere azadar hai ya hussain

Mir Abid Ali2018
ShiaNohaLyrics
Jaan-o-dil se hai hum tujhpe khurbaan Ye hai pahchaan apni ye eimaa Hum to tere azadaar hai ya hussain Janisaar aur ghamkhaar hai ya hussain 1. Ranj-o-gham ke ho tufa ke ho rahate Tera matam karenge har ek haal me Roak sakti nahi hai hame gardishe Hum to tere azadaar hai ya hussain 2. Tere akbar ke seene me barchi lagi Ran me rote hai jannat se aakar nabi Hai jawa laash aur tu hai ibne ali Hum to tere azadaar hai ya hussain 3. Tu tane tanha aur lashkare ashkiya Alkhama par hai soya tera ba wafa Aa rahi hai ye mashk-o-alam se sada Hum to tere azadaar hai ya hussain 4. Kitne aabid ko sadme the kitne alam Jab dayaare sitam me lute the haram Hai shahe do sada aye imam-e-umam Hum to tere azadaar hai ya hussain 5. Haale dil kis se teri sakeena kahe Sadme gurbat ke kis tarha zainab sahe Bahre gham kyu na ankho se inke bahe Hum to tere azadaar hai ya hussain 6. Rote hai aasma ro rahi hai zami Zarra zarra hai tere hi gham se hazi Koi duniya me mazloom tujhsa nahi Hum to tere azadaar hai ya hussain 7. Pardaye gaib me hai jo tera pisar Rota hai tere gham me wo dil thaam kar Iske hamraah kahte hai shams-o-khamar Hum to tere azadaar hai ya hussain 8. Darmiya ke tu hazaaro ke tha be nawa Aati thi dam ba dam siskiyo ki sada Rote hai tujh pe sadiyo se sab anbiya Hum to tere azadaar hai ya hussain 9. Jab talak bhi hamaari jismo me dam Zikr pe tere aankhe rahengi ye nam Kahte hain matami teri khaake khasam Hum to tere azadaar hai ya hussain 10. Wo ho tahseen ya ahsan-o-nawha gar Naam lete hai tera hi shaam-o-sahar Inpe karde aye maula karam ki nazar Hum to tere azadaar hai ya hussain