لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Hussain ka ghum manaiye

Mir Abid Ali2018
ShiaNohaLyrics
1. Hussain zaate azeem hai Kareem ibne kareem hai Isi ke khadmo me aayiye hussain ka gham manayiye 2. Hussain hain waarise nabi hussain hain dilbare ali Sukoo is dar se paayiye hussain ka gham manayiye 3. Milenge is dar se nemate yahin se milti hai jannatein Muraade sab leke jayiye hussain ka gham manayiye 4. Buland hota hai martaba dua e deti hai fathema Aza ki majlis me aayiye hussain ka gham manayiye 5. Hussain ibne ali ka gham khasam khuda ki hai mohtaram Har ek gham bhool jajiye hussain ka gham manayiye 6. Namaaze gham ki ye shaan hai aza ka farsh aasmaan hai Musalla fauran bichaayiye hussain ka gham manayiye 7. Hai karbala kabaye yaqeen zameen aisi koi nahi Yahi jabeene jhukayiye hussain ka gham manayiye 8. Yaha ki mitti me hai shifa ye hai waseela najaat ka Yaha  pe aankhe bichayuye hussain ka gham manayiye 9. Aza ke aanso hai raushni ye ashkh dete hai zindagi Musalsil anso bahayiye hussain ka gham manayiye 10. Uthaaye abbas ka alam badhaayi liye bas yuhi khadam Payaam ye dete jayiye hussain ka gham manayiye 11. Bahega is gham me gar lahu to peshe rab honge surkh roo Khud apni azmat badhaayiye hussain ka gham manayiye 12. Ye jhoola taboot aur alam nishaniya sab hai mohtaram Yaha sar apna jhukaayiye hussain ka gham manayiye 13. Jawaan beta juda hua shaheed  asgar b hi hogaya Hai zikr pyaso ka aayiye hussain ka gham manayiye 14. Raha na abbas sa jari kamar hui kham hussain ki Usi ka matam hai aayiye hussain ka gham manayiye 15. Museebate door kijiye hussain ka naam lijiye Pukariye azmaayiye hussain ka gham manayiye 16. Rasheed ki hai ye arzoo payam goonjhi ye chaarsoo Ye nawha sab ko sunayiye hussain ka gham manayiye