لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Qasim e khasta tan

Mir Abid Ali2018
ShiaNohaLyrics
khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan umme farwa ke armaan khalbe hasan 1. Be zara tu jo ladne adoo se gaya Umr ka wo teri terwa saal tha Teen din se tu pyaasa tha aye dil ruba alkhama cheekhti hai to rota hai ban khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 2. Almadad ammu jaa ki sada jab suni pahunche maqtal me abbas-o-sibte nabi Gardishe waqt ne haaye awaaz di maahe farwa ko ban me laga hai gahan khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 3. Kahte the dil ko thaame shahe mashraqain laal phir do sada dhoondta hai hussain Tum ho zakhmi to kaise mujhe aaye chain aye mere mahle khaa aye mere seem tan khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 4. Ro rahi thi tere haal par zindagi dekh kar tujhko pamaal ajal cheekh uthi Kaise uthe ga laasha tera aye jari para para hua haaye saara badan khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 5. Haaye kaisa nazaara tha wo hashr ka ran me shabber ne jab bichaayi jab aba Unki aankho me ashko ka toofaan tha     tar ba tar the tere khoo me shaahe zaman khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 6. Zakhm kubra ke ab kaise bhar payenge gham ke manzar hamesha hi yaad ayenge Umr bhar ab ise khoon rulwaayenge wo hina hato ki aur wo pairahan khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 7. The ye khasim ke tukdo pe zainab ke bain mujhse roota mere bhai ka noore ain Kaise aaye ga haaye mere dil ko chain khak-o-khoo me tu ghalta hai aye gulbadan khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan 8. Hind ho paak-o-iraan ya karbala hai majalis ye khasim ki har jaa bapa Rote hai lamha lamha ye arzo sama mahwe matam hai ahsan har ek nanjuman khasim-e -khasta tan  khasim-e -khasta tan