لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhayya ghareeb

Mir Hasan Mir2007
ShiaNohaLyrics
Bhayya ghareeb (Ay Mere Bhai Hussain) x4 (Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x3 Lash-e-Hussain par hai, Zainab ki ye duhaayi (Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi) x2 Misl-e-Batool haq se mehroom hu mei ab tak Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Afsos ke Sakina, nazo(n) se jo pali hai Jo tum ko yaad karke, zindaa mei chalbasi hai Usko mili na bhayya, zindaan se rihaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Ham par sitam ay bhayya, dhate rahe sitamghar Sayyedaniyo(n) ke sar mei, ati thi khaak urhkar Bazaar ka wo manzar, Zainab na bhool paayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Baalo(n) se mu(n) chupa kar, bazaar mei gayi thi Narghe mei ashkiya(n) ke, beparda mei khari thi Guzri hai kya behen par, kaise batawu bhaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Sajjad ke ye dil par, dushwaar marhala tha Zanjeer ko sambhaale, beemar ro raha tha Aal-e-nabi khule sar, darbar mei jo ayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Sabse bari musibat, kya hai kisi ne poocha Beemar sar jhuka kar, rote huwe ye bola Behno(n) ko shaam jana, Zainab ki beridaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Misl-e-Batool akse mehroom hu mei ab tak Shabbir tere gham mei, maghmoom hu mei ab tak Tarpa rahi hai mujhko, Abbas ki judaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 Is aik saanhay par, aksar muhib ne socha Barbaad ho gaya jab, aal-e-Nabi ka kumba Baad-e-Hussain kyu kar, baaqi rahi khudaayi Bhaya Gharib Zainab Tera Kafan na layi (Ay Mere Bhai Hussain) x2 (Tera Kafan na layi) x3