لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Na asghar hai na sakina

Mir Hasan Mir2007
ShiaNohaLyrics
Haye asghar, haye sakina..(4) Zindaa'n se reha hokar bano ab kya jayegi madina na asghar hai na sakina haye asghar, haye haye sakina Bibi ke liye kitna mushkil..(2) is haal mein hoga jeena na asghar hai na sakina 1. Khali jhula shehzade ka aur khoon mein tarr ek baali jab dekhegi ghar mein aakar zindaan se aane wali tukde tukde hojayega..(2) be khanjar uska seena na asghar hai na sakina 2. Ek ki turbat tareeki mein aur dhoop mein ek ka laasha wo bhi pyaasi duniya se gayi aur mar gaya wo bhi pyaasa kisko baali pehnaye ab..(2) aur kisko jhulaye jhula na asghar hai na sakina 3. Jab khelte bache dekhegi kya guzregi bano par yaad aaenge jab apne bachhe chal jayega dil par khanjar jab saath nahi dengi saanse..(2) kaise wo rahegi zinda na asghar hai na sakina 4. Ab isse bada kya hoga sitam aye chashme falak tu batla aulad se ronak hoti hai uthta hai jo koi laasha lekin bano ki mayyat par..(2) ab kaun hai rone wala na asghar hai na sakina 5. Jo baat kahi thi bacho'n se usne ta umr nibhayi na paani piya thanda usne na khud saaye mein aayi bas dhoop mein baithi sham o sahar..(2) kehti hi rahi ye hazina na asghar hai na sakina 6. Lori ki sadaa nauha bankar zindaan se ghar tak aayi maa se sughra ye puchti hai ye kaisi hai tanhayi ab maa ne agar sach bol diya..(2) to mar jayegi sughra na asghar hai na sakina 7. Nauhe mein kaha'n tak meer hasan rehan wo manzar likhhe awaaz teri nauhe mein dhali aati hai sadaa matam se ye kehkar aye pursa daro..(2) zahra ko pursa dena na asghar hai na sakina Zindaa'n se reha hokar bano ab kya jayegi madina na asghar hai na sakina haye asghar, haye haye sakina haye sakina.. haye sakina.. haye asghar, haye sakina