لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Main Pyaasa Hun Amma

Mir Hasan Mir2008
ShiaNohaLyrics
ya qatile jafaa, ya hussein-e-shaheed ya hussein, maula hussein..(2) main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2) hai khushk gala mera..(2) aur saamne hai dariyaa, haaye main pyaasa hun amma, main pyaasa hun amma..(2) 1. Tumne toh sadaa apne pehlu mai sulaaya hai jab pyaas lagi mujhko khud paani pilaya hai seh roz se ab maine..(2) paani hi nahi dekha, haaye 2. Khanjar meri gardan par ab shimr chalaega amma yeh samaa tumse dekha nahi jaega jalti hui reti par..(2) karna hai mujhe sajdaa, haaye 3. Zakhmon me mere amma hai ret bayabaa ki jalta hua sehra hai saaya bhi nahin koi mai maalik e kausar hu..(2) hai phir ye sitam kaisa, haaye 4. Ab ham nahin aayenge zainab ko bata dena masoom sakina ko tum paani pila dena hargiz na pukarega..(2) ab aap ka yeh beta, haaye 5. Har haal me darya par abbas ko jaana tha yeh mashke sakina toh bas ek bahaana tha dil Uska bhi jalta tha..(2) ghazi bhi samajhta tha, haaye 6. Hamshakle payambar ne jis dam se azaan di hai Uss dam se laeenon ne mohlat hi nahin di hai ab aap ki godi me..(2) hai yaad mujhe aaya, haaye 7. Bachpan se yeh aadat thi jab pyaas mujhe lagti bin maange hue ghazi ley aata thaa khud paani le aae zara paani..(2) ghazi ko sadaa dena, haaye 8. Kausar pe mera lashkar jis waqt gaya hoga har chhota bada jaakar baba se milaa hoga har ek ne yeh jaakar..(2) Unse bhi kahaa hoga, haaye 9. Aye "meer takallum" ho manzar tha bhalaa kaisa royi jo nabi-zaadi ek shor e qayaamat tha jab chalne lagaa khanjar..(2) kehte hi rahe maulaa, haaye