لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Tu na aaya ghazi

Mir Hasan Mir2008
ShiaNohaLyrics
(Haaye Mere Abbas) x4 (Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi) x2 Aale-Imraan Kahaan, Aur Zindaan Kahaan Ye Behen Qaid Huwi, Tu Na Aaya Ghazi Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi 1. Hamko Paani Na Mile, Teri Khushbu Toh Rahe Tere Baazu Na Kate, Chaahe Mashkiza Chhide Yeh Magar Ho Na Saka, Tere Baazu Hai Judaa, Mujhpe Hai Tashna-Labi, Tu Na Aaya Ghazi 2. Dhup Mai Tu Thaa Shajar, Tujhse Aabaad Thaa Ghar Hai Barehna Mera Sar, Kya Nahin Tujhko Khabar Ay Alamdaare-Wafaa, Is Behen ko bakhuda Tujhse Dhaaras Thi Bari, Tu Na Aaya Ghazi 3. Aagayi Shaam-e-Alam, Lutgaye Ehle-Haram Ret Par Jalti Huwi, Hogaya Thanda Alam Pursaa Dene Ke Liye, Mujhse Milne Ke Liye Aagaye Baba Ali, Tu Na Aaya Ghazi 4. Kya Kahun Sher Mere, Beridaa Hamko Liye Ye Musalmaa(n) Saare, Shehr dar Shehr Gaye Khilqate Kufa Kabhi, Khilqate Shaam Kabhi Aur Haa(n) Ham Pe Hassi, Tu Na Aaya Ghazi 5. Kitni Bebas Thi Behen, Ai Shehenshaahe Wafaa Naam Leleke Mera, Jab Ye Zaalim Ne Kahaa Naaz Tha Jispe Tujhe, Ab Bulaaona Usse Aur Mai Roti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi 6. Qaid Khaane Mai Qazaa, Jab Sakina Ko Mili Deke Kurte Ka Kafan, Bacchi Dafnaayi Gayi Us Ghari Naam Tera, Surate Naade-Ali Dukh Mai Dohraati Rahi, Tu Na Aaya Ghazi 7. Roya "Rehan" Kalam, Karke Yeh Baat Raqam Khun Mai Dub Gaya, Mere Ghazi Ka Alam Zakhmi Zainab Ka Jigar, Khun-Fishaan Shah Ka Sar Aaye Khaimon Mai Shaqi, Tu Na Aaya Ghazi Jab Ridaa Sar Se Chhini, Mai Sadaa Deti Rahi, Tu Na Aaya Ghazi (Tu Na Aaya Ghazi) x2