لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ay sham ke logo(n)

Mir Hasan Mir2009
ShiaNohaLyrics
Ay sham ke logo( n) (Mei Bint e Ali hoon ) x3 ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x3 1. (Mei waris e tatheer hoon ) x2 Namoos -e- nabi hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 2. Bazaar se darbar mei leh aye ho muj ko Chaho tou jala saktiee hoon khutboo se mei tum ko Sabir ki behan hoon jo mei khamosh khari hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 3. Afsoos kanizi mei usse mang rahey hoo Tum jis keh ghulamo ki ghulami mei rahey hoo Yeh zulm na ho ga kabhi mei zinda abhi hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 4. Tum apney payambar ko agar dikhna chahoo Nazey pe jo yeh sar hai issey ghour se dekhoo Humshakal e payambar hai yeh mei is ki phupi hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 5. Aur iss se kathan waqt kya hoo gaa mere mabood Fiza keh taraf dar hai darbar mei majood Mei pusht pe fiza keh khari dekh rahe hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 6. Zehra ko bhi darbar mei tum neh tha bulaya Darbar may mei bhi hoo magar farq hai itnaa Pardey mei thi woh aur mei be parda kari hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 7. Zanjeero mei jakra jo yeh beimaar khraa hai Sajda isey kaabey ki faseelo neh kiya hai Mansab mei bara woh hai mei rishtey mei bari hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 8. Zinda tha tou dar dar keh hameshaa he larey hoo Ab sar hai tou honto pe chari mar rahey hoo Tum kitney bahaddur ho mei yeh dikh rahi hoon ( Aey Sham keh logo mei bint e Ali hoon ) x2 9. Honeh lagi darbar mei mushtarka azanein Rehan idhar naam e nabi gunja fizza mei ( Bibi neh kaha fakhr se) x2 ( mei jeet gayi hoon ) x 3