لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Koi ghaybat mei

Mir Hasan Mir2009
ShiaNohaLyrics
Koi ghaybat mei ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 1. Usse Zainab ka jaab bazar jana yaad ata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 2. ( Koi ghamkhar ghaibat mei mayesar hi nahi usko ) x2 (So tanhayi mei har nauha ) x2 woh khud ko hi sunataa hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 3. ( Unhi galiyon mei chal chal kar jaha chalti rahe Zainab ) x2 ( Nisha ( n) Zainab keh qadmo (n)) x2 keh woh hathoo se mita ta hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 4. ( Baqiyye mei sada e wa hussaina ghunj uthti hai ) x2 ( Woh jaab bhi qabr e Zahra) x2 aa keh seene se lagata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 5. ( Nahi thamte hai uski aankh se aansoo kisi soorat ) x2 ( Usse behsheer ka) x2 jab muskarana yaad ata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 6. ( Pidar ki god ki khatir sakina jab bhi roti hai ) x2 ( Woh lori baap ke ) x2 lehjey mei beti ko sunata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 7. ( Khayaal ata hai jab bhi parda e Zainab ka Mehdi ko ) x2 ( Kabhi talwar par) x2 woh haath rakhta hai hatata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2 8. ( Woh hujjat hai ussi ka kaam hai iss dard ko sehna ) x2 (Kisi khaqi keh dil mei ) x2 juan yeh gham kaab samata hai ( Koi ghaibat mei betha khoon keh aansoo bahata hai ) x2