لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sajjad ko har gham bhool gaya

Mir Hasan Mir2009
ShiaNohaLyrics
Sajjad ko har gham bhool gaya bus sham mein jana yaad raha Baaghi ka beta sun sunkar wo patthar khana yaad raha Kaisi shadi kaisi khushiya'n sab bhool gaye the zainul ebaa shabbir ki ghurbat par har pal..(2) bus ashk bahana yaad raha Beemar musafir khud apne paao ke chhale bhool gaya lekin ummat ka zainab ko..(2) kaato'n pe chalana yaad raha Manga tha kaneezi mein jis dum zalim ne sakina bibi ko par karb phuphi ka bacchi ko..(2) pehlu mein chupana yaad raha Baba ka zamana bhool gaya dada ka zamana bhool gaya abid ko faqat maa phupiyo ka..(2) darbaar mein jaana yaad raha Khud ne patthar khaye lekin kuch yaad nahi sab bhool gaya par muztar bacchi sakina ko..(2) zalim ka satana yaad raha Khud zanjeero'n se jakde the ye ghum na yaad raha lekin zindaa'n mein apni behna ki..(2) turbat ka banana yaad raha