لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Pehlu bhi shikasta hai

Mir Hasan Mir2010
ShiaNohaLyrics
Haaye sayyada..(4) Pehlu bhi shikasta hai turbat bhi shikasta hai..(3) Kya haal yeh ummat ne..(2) zehra ka banaaya hai 1. Khatoon koi gham se yun choor nahi dekhi aisi koi duniya me mastoor nahi dekhi atthaara baras me hi lagti jo zaeefa hai 2. Darbaar mai zaalim ne ki aisi pazeeraai kis tarha se tu bibi phir laut ke ghar aayi baalon ki safedi ne sab haal sunaaya hai 3. Tu roti rahi ghar mai haider se bhi chhup chhup ke ismat ki tarha dukh bhi parde mai rahe tere kuch dard tere bibi bas jaanti fizza hai 4. Do aise janaaze hai taariki me jo utthe bas ghar ke hi logon ne dono ko diye kaandhe ek fatema zahra hai ek baali sakina hai 5. Marham tere zakhmon ka bibi na milaa ab tak aulaade umayya ki baaqi hai jafaa ab tak rone pe bhi pehra tha turbat pe bhi pehra hai 6. Mismaar tera roza ummat ne kiya jab se baba tera rehta hai turbat pe teri tab se kab ghumbad-e-khizra me baba tera rehta hai 7. Mehdi se koi puchhe kya uss pe guzarti hai awaaz baqayya se jab rone ki aati hai aankhon se lahu rokar woh bhi yehi kehta hai 8. Tasweer haqiqat ki khwaabon ko banaadije aye bibi “takallum” ko taabir dikhaadije matam teri turbat pe hote huwe dekha hai 9. Hasrat hai yahi maula har matami seene mein aap aaaye to ho maatam jee bhar ke madine mein har matami seene par likkha ye areeza hai 10. Wo karbobala ho ya mash'ad ho ke samarrah yasrab ho najaf ho ya zindaan ka darwaza har simt yahi bibi jaari tera girya hai