لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Muje Bhi Watan le Chalo

Mir Hasan Mir2011
ShiaNohaLyrics
jab riha sham ke zindan se hue ahle haram kya khushi hoti dubala hua sadaat ka gham jisko armane rihaai tha hui wo bedam ek nanhi si lehad par tha musalsal matam sunke faryad-o-fughan saans ruki jaati thi qabr se bali sakina ki sada aati thi watan jaane walon mujhe bhi watan le chalo mujhe bhi watan le chalo mai kaise rahungi yahan par yahan hai bhala kaun mera mujhe bhi watan le chalo.... reha hoke ghar jaane walon,  mujhe bhi kahin par bitha lo shaheedo ke sar hai jahan par, mujhe bhi wahin par sulado mai baba ke sar se lipat kar, safar kaat-lungi ye saara mujhe bhi watan le chalo.... na yun chor kar jao amma, mujhe shamiyon ke sahare yateemi ki maari hui ko, sataya bahot zaalimo ne bahot khauf aata hai mujhko, tumhe waasta sayyeda ka mujhe bhi watan le chalo.... suna hai ke wapas milay hai, tumhein shimr se mere gowhar bhala kya karoge tum unka, agar rehgayi mai yahan par inhi bhi amaanat samajh kar, ya dafna do zindan may ya mujhe bhi watan le chalo.... jo pahunchay madina to amma, phir raqte musibat na aaye sina ur akbar ki baatein, sunane ki naubat na aaye meri laash ko dekh kar hi, samajh legi har baat sugra mujhe bhi watan le chalo.... yehi soch kar zayre turbat, tadapta hai dukhiya ka laasha mujhe shimr ke shehr may ab, hamesha hi rehna padega dhadakta nahi phir bhi amma, ye dil kaamp jaata hai mera mujhe bhi watan le chalo.... sare shahe deen kuch to bolo, sifarish karo kuch hamari khaza aagayi hai to phir kya, mai beti hoo baba tumhari na inkaar kar payengi wo, phupi se zara kehdo baba mujhe bhi watan le chalo.... ye haalat thi har ek qadam par, madine ke raste may akbar giri thi jahan par sakina, tamache lage thay jahan par wahan khaak se qaidiyo ko, sadayein ye aati thi har ja mujhe bhi watan le chalo...