لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Acha hua sughra

Mir Hasan Mir2012
ShiaNohaLyrics
jab ahle haram aaye madine may palay kar sughra se kaha saniye zehra ne lipat kar acha hua sughra tu mere saath nahi thi zainab ka tha noha hum lut gaye sughra acha hua sughra.... 1. is baat pe karti hoo ada shukr ka sajda hum may se kisi ka to salamat raha parda kis tarha bataun tujhe dil phat ta hai mera sadaat ki ghairat ka taqaza nahi sughra bas itna hi kehti hoo rida jab ke chini thi acha hua sughra.... 2. tu poochti hai surkh hai kyun aap ki chadar aa tujhko bataun mere mazloom ki dukhktar jab qaime may sheh laaye laashe ali akbar mai aise giri laash ke pehlu may tadap kar akbar ke lahoo se ye rida surkh hui thi acha hua sughra.... 3. kis tarha rahi hogi tu is ghar may akeli ehsaas mujhe hai tere is dard ka beti lekin tu zaeefa hui furqat may padar ki tujhko to khabar sirf shahadat ki hai pahunchi mai sheh ka gala kat-te hue dekh rahi thi acha hua sughra.... 4. kya bughz hai baba se musalmano ko jaane phir aaye thay ghar fathema zehra ka jalane sab aake khade hogaye bekas ke sarhane us waqt sitamgaron se abid ko bachane beti phupi amma teri sholo pe chali thi acha hua sughra.... 5. tanhai may le jaake kabhi poochna maa se kis tarha se guzri teri maa behne wahan se baatein jahan sab karte hai pathar ki zuban se shab ko bhi guzarna bada mushkil hai jahan se be-parda din may wahan har ek bibi khadi thi acha hua sughra.... 6. nana ka madina hai nahi khauf kisi ka dil khol ke ro kaun tujhe maarega durra lekin kabhi baba pe jo roti thi sakina sayli kabhi durra kabhi khati thi tamacha rone pe bhi masoom ke pabandi lagi thi acha hua sughra.... 7. ay mir takallum wo qayamat thi qayamat zainab ne sunayi jo sakina ki shahadat sadaat pe sughra tha ajab aalam e ghurbat zindan ke andhere may banayi gayi turbat dam tod ti bachi ne bhi ye baat kahi thi acha hua sughra....