لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Umme laila sambhal zainab ko

Mir Hasan Mir2012
ShiaNohaLyrics
Gareeb zehra par kya waqt hai gareebi ka... garebaan chaak hai baalon me khaake karbobala talaash karte hai rasta nazar nhi aata yeh haal dekhke haste hai sheh par ahle jafa behan ke kaandhon par kul kainaat laate hai kadam kadam par yeh aawaaz dete jaate hai umme laila sambhal zainab ko x2 laa raha hu main lasha-e-akbar umme laila sambhal zainab ko x2 bole honge hussain yeh rokar umme laila sambhal zainab ko laa raha hu main lasha-e-akbar umme laila sambhal zainab ko 1) naujawan laash hai zaeefi hai meri nazron se dekh manzar ko kaise humsheer ko sambhalunga main sambhale hue hu akbar ko tera ehsaan hoga yeh mujhpar 2) uske seene se leke naame ali maine barchi abhi nikaali hai imtehaan de chuki meri gurbat ab teri bebasi ki baari hai tu bhi is waqt yaa ali kehkar 3) do nageene the iski godi me dono akbar pe kar diye sadka sabr aisa ke apne beton par maine rota ise nahi dekha hai magar ab yeh lasha-e-akbar 4) rok rakha hai apne ashkon ko sabse chup chup ke aaahein bharti hai main samjhta hu maadare akbar teri mamta pe jo guzarti hai rakhke apne kaleje pe patthar 5) aise lashe jawaa'n uthaaye hun aidiyaan khat banati aati hai inn nishaano ko peeche-peeche mere amma zahra mitati aati hai uski nazrein na dekhe yeh manzar 6) aye "takallum" woh shaam-o-kufa ka taiy hua hoga is tarah se safar Amma zainab sambhalna maa ko kehte honge sina se yeh akbar aur hoga hussain ke lab par...