لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Mere Maula Aao

Mir Hasan Mir2013
ShiaNohaLyrics
Al Ajal ya imame zama..(2) Nazre talaash karti hai tumko shahe zamaa'n phir de rahe hai sheh ke azadaar imtehaa'n aahein, kahi pe nauhe, kahi par hai hichkiya'n ujde he makaan hai veeraan godiya'n rudaad apne ghum ki sunati hai kayenaat aakhri hussain bulati hai kayenaat Mere maula aao ke muddat hui hai sitam zaalimo ke uthaate uthaate tere dushmano ki guzarti hai maula tere doston ko sataate sataate 1. Guzarti hai jaisi guzarenge maula na haari hai himmat na haarenge maula sitam thak gaya hai hue kund khanjar lahoo momino ka bahaate bahaate mere maula aao... 2. Kahin nauha matam kahin aahozari safar karbala ka musalsal hai jaari jhuke jaa rahe hai zaeefon ke kaandhe jawaano ke laashe uthaate uthaate mere maula aao... 3. La'eeno ne hum par mazaalim wo dhaaye jawan saal laashon pe laashon uthaaye chale hai shahadat ka sehra sajaaye wo shaadi ka sehra sajaate sajaate mere maula aao... 4. Jo behne hai zinda to bhai nahi hai hai maa baap baaqi to bete nahi hai jo bete hai baaqi to saaya nahi hai jigar kaampta hai bataate bataate mere maula aao... 5. Gharon se chale the jo purse ki khaatir wo maare gaye raaston me musaafir kabhi jaate jaate juloose aza me kabhi mash'had o karbala jaate jaate mere maula aao... 6. Thi sughra ke lab par sada ye duhaai chale aao baba chale aao bhai atakti hai seene may ab meri saanse tumhein der hojaye na aate aate mere maula aao... 7. Zaban se jo ki baat usne nibhayi piya thanda pani na saaye me aayi zamane se uthi hai asghar ki maadar khalayon me jhoola jhulaate jhulaate mere maula aao... 8. Khuda jaanta hai wo kaisa tha manzar kaleje pe abid ke chalte the khanjar jawani zaeefi ke dar par khadi thi sakina ki turbat banate banate mere maula aao... 9. Takallum ki aur haidari ki dua hai har ek simt matam hai aah-o-buka hai na aisa ho hum bhi lehed me ye bole ahut der ki meherban aate aate mere maula aao...