لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Aye Muslime ghareeb

Mir Hasan Mir2014
ShiaNohaLyrics
Aye muslim-e-ghareeb..(6) kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) ya ali, ya ali koofe me fir aayi hai rone sayyeda aap par jab ibne muljim ne kiya sajde me waar hath pehlu par rakhe yaha aai thi me pehli baar aaj fir us haal me zahra ko hai aana pada kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) koofe walo ne ise milkar hai maara ya ali lashae muslim hai aise para para ya ali jism hai sara mere bache ka zakhmo se bhara kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) kis tarah maine sambhala kis tarah thamba ise kya batau mai khadi thi hath phailaye hue darul ammara se jab tha lashae muslim gira kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) kuch hi din me phir yaha aungi mai roti hui iske bacho par chalegi jab ke haris ki churi mai sambhalungi unhe aakar ruqaiyya ki jagah kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) dushmani ale nabi se is tarha dikhlaenge yu mohd aur ibrahim mare jaenge naam ka bhi paas rakhenge na kuch ehle jafa kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) kar rahe hai zulm ki tafseer ye chehro ke neel kat rahi hai aaj jo dar dar ye aulade aqeel hai yaqeenan ye mere bacho se ulfat ki saza kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) bain the akbar zabane sayyada par bas yahi sath zainab ke yaha fir mujhko aana hai abhi shaam tak lejaega koofe se ghum ka silsila kar rahi thi lashae muslim pe ye zahra buka..(2) Aye muslim-e-ghareeb..(4)