لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Gham e Fatima

Mir Hasan Mir2014
ShiaNohaLyrics
Haay mazluma fatema zehra Haay mehruma Fatema ka bhare madine me gham batane koi nahi aaya 3 Ghar jalane ko kalmago aaye Hai ghar bujhane koi nahi aaya..!! 1)Kya wo islam ka hi markaz tha 2 Kya madina tha wo muhammed ka 2 Lagrahe the jaha pe zahra k taziyane koi nahi aaya 2)Rassiya thi ali ki gardan me 2 Aur bazaar se guzarte the 2 Sab tamashayi banke takte rahe Aur chudane koi nahi aaya 3)Dar jala katl hogaye mohsin pasliya sayyed ki toot gayi 2 Fir b kehte ho tm k zehra par zulm dhaane koi nahi aaya 4)Khud hi chunne lagi nabizaadi bikhri tehreer apne baba ki 2 Mustufa ki sanad k tukdo ko Hay jab uthane koi nahi aaya 5)Har sitam fatema pe dhaaya gaya Jalta darwaza b giraaya gaya 2 Apne mehdi ko di sada usne Hay jab bachane koi nahi aaya 6)Aath Shawwal ko hui Akbar fir shahadat nabi ki beti ki 2 Gir raha tha mazaar bibi ka aur bachane koi nahi aaya