لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Riwayate Mukhtar

Mir Hasan Mir2014
ShiaNohaLyrics
Haay .. ae rone walo hai yeh riwayat me likha jis dam qayam koofe me mukhtar ne kiya jo bhi the qatilane shaheedane karbala re unme se koi jab bhi gireftar hota tha hukme ameer par wo sitam jab sunata tha mukhtar sar ko peetke bus rota jaata tha haay.. ek roz tha ye koofe ke darbaar ka sama ibne numair apne sitam karta tha bayaa todi thi maine sinae akbar me khud sina uthta tha shor khaimo se maara gaya jawaa maa jiteji guzar gai, zainab bhi margai ek barchi mere kitne jigar paar kargai haay.. ek roz karke laaya gaya hurmala aseer bola wo ran me maine chalaye the teen teer us waqt pehla teer chalaya tha ae ameer bhar kar chala jo mashk toh mazloom ka safeer mashkeeze se jo teer mera paar hogaya aisa laga ke qatl alamdar hogaya haay.. bola laee ye karb ka hai dusra maqaam laaye jo apni god me besheer ko imaam sukhi zaba phirata tha hoto pe tishnakaam yu qat'a ibne zahra ka maine kiya kalam hil hil gaya lahad me jigar buturab ka are maqtal me neher hogaya bacha rabab ka haay.. darbar me ye sunke qayamat ka tha samaa are peero jawaan rote the lele ke hichkiya bola ye hurmula abhi baaqi hai dastaa jis dam tera husain tha teero ke darmiyaa wo teer aakhri tha jo maine chalaya tha arey us teer ne husain ko zee se giraya tha haay.. phir shor wa husaina ka uthta tha baar baar jab qaid karke laya gaya shimre bad sheyaar bola wo mere haath me khanjar tha tez dhaar jisse kiye husain ki gardan pe tera(13) waar khanjar rawa tha halq pe ibne batool ke dil kat rahe the saath me aale rasool ke haay.. ab iske baad meer takallum baya ho kya ae pursadaro sochna dil me kabhi zara kyu itna waqt qatile shabbir ko laga kis waste husain ka katta na tha gala mehsher me ye khulega sitam kaynaat par khanjar ke kuch nishaan hai zahra ke haath par