لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Ab mujhe koi sakina

Mir Hasan Mir2016
ShiaNohaLyrics
Baba mere baba..(2) Haaye, Shaah ki laadli jab qaidiye zindaan hui Royi, ghabrai bohot aur pareshaan hui qaidkhane ki ghutan maut ka samaan hui jaan lagta tha ke masoom ki bejaan hui laash shabbir ki maqtal mein tadap jaati thi qaidkhane se jo bachi ki sadaa aati thi Ab mujhe koi sakina nahi kehta baba..(2) Qaidi kehta hai koi..(2) koi yateema baba.... Ab mujhe koi... 1. Mai bayaa'n kaisi karu apni musibat tumse kya karu apne tamacho'n ki shikayat tumse sunti hu dadi ne khaya tha tamacha baba Ab mujhe koi... 2. Neel rukhsaro'n pe beenai bhi jiski kam ho umr ho chaar baras aur kamar mein kham ho aap ne dekhi hai kya..(2), aisi zaeefa baba Ab mujhe koi... 3. Khoon besheer se andaza kiya tha maine aap ka chehra to pehchaan liya tha maine aap pehchanoge kaise mera chehra baba Ab mujhe koi... 4. Aap the door to mai saare sitam sehti rahi ro padi koofe ke darbaar mein mai seh na saki aapke saamne jab..(2), jab shimr ne maara baba Ab mujhe koi... 5. Wo to beemar thi mar jati safar mein aake dafn karte use bazaar mein bhaiyya kaise ye to acha hua..(2), aayi nahi sughra baba haye, sughra baba 6. Meri aankho'n se bahe jaate the aansu us damm haath bhi maine lagaya nahi daadi ki qasam dena chaha tha mujhe..(2), logo ne sadqa baba Ab mujhe koi... 7. Us ghadi dhoondh rahi thi mai chacha jaan ka sar kaise batlau ke kya guzri teri beti par mujhko zalim ne kaneezi mein jo maanga bab Ab mujhe koi... 8. Bayn ye karte hi khamosh hui wo akbar aaj to jaaenge saath apne mujhe bhi lekar aap ko meri qasam..(2), kijiye wada baba Ab mujhe koi...