لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Asghar e besheer jaisi qabr

Mir Hasan Mir2016
ShiaNohaLyrics
haye abbas haye abbas..(2) Haye abbas, haye abbas haye mera abbas..(3) haaye ro rahi hai soch kar...(2) ummul bani ye aaj bhi asghar e besheer jaisi qabr hai abbas ki..(2) 1. Rashk karti thi mai aksar haider e qarrar par paaon khat dete the uske baith kar rahwaar par haye mere sher ki..(2) ye kaisi halat hogayi asghar e besheer... 2. Marke bhi usne nibhaya mujhse jo waada kiya apne bete ki wafa par fakhr hai mujhko bada ab nahi asghar ki maa se kuch mujhe sharmindagi asghar e besheer... 3. Baap ke badle musalmano ne bete se liye sar juda hai tan juda bazu juda hai sher ke aap ki tasweer tukde..(2) hogayi hai ya ali asghar e besheer... 4. Kaun lad sakta tha usse, kisme tha itna jigar sunti hu nau laakh ne maara hai usko gher kar laash bhi uski salamat dasht mein rehne na di asghar e besheer... 5. Kya qad o qamad thi uski, ye use maloom tha ek gathdi mein simat kar, kaise qasim aagaya umme farwa jaanti hai..(2) kya hai meri bekasi asghar e besheer... 6. Kab samata tha meri chadar mei tu aye mere laal kar diya hai zalimo ne ye tere laashe ka haal ye mere sar ki rida bhi tere turbat se badi asghar e besheer... 7. Keh ke ya abbas karta hai wo ashko se wuzu darti hu jaari na ho phir uske aankho'n se lahu saamne abid ke yu..(2) kehti nahi hu mai kabhi asghar e besheer... 8. Ro ke karti hai salam unko takallum karbala Fatima zehra se maa bete ne ki aise wafa madar e abbas ki turbat bhi hai tooti hui asghar e besheer...