لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba

Mir Hasan Mir2016
ShiaNohaLyrics
Haye baba, haye baba... subbat alayya masaeb un law annaha subbat alal ayyame sir na laya leya Haye baba, haye baba... Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) fir wo jalta hua darr..(2) mujhpe giraya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Raakh thi, shole the, sehme hue bache ya dhua'n mere aangan me tha ek shaam e ghareeba ka samaa darr hata kar mujhe, fizza ne uthaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye laut kar aayi to chehra bhi mera zakhmi tha meri zainab ko meri peshi ka pehla nauha mere baalo ki safedi ne sunaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye le chale qaidi banakar jo ali ko dushman maine chhoda nahi haider ki abaa ka daaman taziyano ne magar mujhse chudaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) Haye baithkar padhti hu mushkil se namaz e shab bhi phir bhi awaaz ki khilqat ki dua bhooli nahi jab bhi zakhmi hue haatho'n ko uthaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) Zakhmi haalat mein bhi dehleez se bahar aayi aur aliyun waliyullah bacha kar laayi ehed jo maine kiya tha wo nibhaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(3) Kaunsa darr hai jaha'n aapki beti na gayi arey, baat sunna to kuja yu hui izzat meri koi darwaze se bahar nahi aaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) khud ye dekha hai tere shehr ki deewaro ne aisi ghurbat thi ke haatho'n mein sitamgaro ne rassiya'n baandh ke haider ko phiraya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye jis jagah aapne ruk ruk ke ijazat maangi waha'n gustaakh musalmano ne baiyat maangi arey koi shole to koi lakdiya'n laaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Arsh aur farsh pe mohsin hua kohraam bapa jis ghadi roke wilayat ki shahida ne kaha haye, mujhko has haske zamane..(2) ne rulaya baba Teri ummat ne mere darr ko jalaya baba.. haye..(2) Haye baba... haye baba, haye baba..(2)