لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Bhai bhai pukarti rahi mai

Mir Hasan Mir2017
ShiaNohaLyrics
Amma meri amma..(3) amma, amma amma ruka na shimr e laee'n mere bayn se sattar(70) qadam thi door ye zainab hussain se bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma shimr ne ki phir aisi ghustakhi..(2) mujhse dekha nahi gaya amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 1. Tum jo zulfe sawara karti thi unhi zulfo mein haath tha uska jaha'n bose diye the nana ne usi gardan se khoo'n tapakta tha sare shabbir yu uthaye hue shimr khaime tak aagaya amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 2. Dekh kar mujhko bayn karte hue shimr har baar muskarata raha meri nazro ke saamne zalim waar ginkar churi chalata raha haye 13 zarbe thi kund khanjar tha aur shabbir ka gala amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 3. Charo janib se gher rakha tha tere noore nazar ko lashkar ne teer barsata tha koi uspar koi patthar se maarta tha use haye ret zakhmo pe wo girata raha jisko patthar nahi mila amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 4. Tegh jis dum koi chali uspar haye abbas kehke roya tha teer peshani pe laga jis dum haye asghar zabaa'n pe aaya tha haye akbar pukara duniya ne jab bhi neza koi laga amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 5. Haye jab chalaya tha shimr ne khanjar maine aanko'n se apni dekha tha haath apne uthake pehlu se tune sukhe gale pe rakha tha ungliya'n zakhmi hogayi hongi haath mujhse to naa chupa amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 6. Aisi nafrat thi unke seeno mein ye bhi socha na shaam walo ne deen e islam mein zabiha tak zibha pyaase nahi kiye jaate haye teen din se hussain pyaasa hai ye bhi socha nahi gaya amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma 7. Maa ye zainab se kehti thi 'akbar' meri aaghosh mein tha sar uska maine gardan ko katte dekha tha maine saanso ko rukte dekha tha haye aakhri baar zere khanjar bhi maine shabbir se suna amma bhai bhai pukarti rahi mai phir bhi khanjar nahi ruka amma