لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Jab bhi ho karbobala aap ka jana bhaiyya

Mir Hasan Mir2017
ShiaNohaLyrics
Haye.. Akhri baar mera haal e musibat sunlo bhai sajjad ye sakina ki wasiyat sunlo jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2) meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya Ye wasiyat meri.. ye wasiyat meri tum bhul na jaana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya jab bhi karbobala aapka jana bhaiyya..(2) 1. Wo agar puche mera haal chacha se kehna meri neendein hui pamaal chacha se kehna taziyano ka sab ehwaal chacha se kehna ab bhi neele hai mere gaal chacha se kehna jo sitam mujh pa hue saare batana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 2. Paao jalte the mere hoti thi eeza mujhko chhao me baithne dete na the adaa mujhko jab bhi chalte hue ghash dhoop mein aaya mujhko oonth ki pusht se jallad ne bandha mujhko mai bohot royi.. mai bohot royi magar shimr na maana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 3. Jab haram qaid hue maine chacha ko dhundha jab bandhe 12 gale maine chacha ko dhundha jab gohar mere chine maine chacha ko dhundha jab mujhe durre lage maine chacha ko dhundha wo agar hote satata na zamana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 4. Qaid khane se hi mansoob hai ab zaat meri hoga ehsaan nibha doge agar baat meri chayn se qabr mein ghat jayegi har raat meri jiteji un se na ho payi mulaqat meri sar chacha jaa'n ka... sar chacha jaa'n ka meri qabr pe laana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 5. Karbala jao to aisa nahi hone dena unko tanhai ka sadma nahi hone dena mere ammu ko akela nahi hone dena qabr e ghazi pe andhera nahi hone dena ek diya meri taraf se bhi jalana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 6. Mere ehsaas e gharibi se bachana unko yaad wo waqt e musibat na dilana unko mera ehwal e kanizi na sunana unko hashmi sher hai mat yaad dilana unko mai nahi chahti.... mai nahi chahti phir hashr uthana bhaiyya jab bhi ho... 7. Qaid se chootke jab karbobala jaoge pehle to karna salam unko meri janib se phir batana ke ye din kaise guzare maine aur jab phool chadhane lago us turbat pe meri janib se rida meri udhana bhaiyya meri rudaad chacha jaa'n ko sunana bhaiyya 8. Sunke arif ye wasiyat thi qayamat barpa laashe abbas tadapti thi sare karbobala aur sajjad ki ankho se lahu jari tha jis ghadi bali sakina ne ye ahista kaha meri mayyat ko andhere mein uthana bhaiyya..(2) bhaiyya bhaiyya bhaiyya..(2)