لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kya mere jawan laal ke

Mir Hasan Mir2017
ShiaNohaLyrics
Haye kadiyal jawan akbar mera kadiyal jawan akbar haaye.. jeeti hai wo maa jiske guzar jaane ke din the..(2) kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(3) jeeti hai wo maa jiske guzar jaane ke din the..(2) kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(2) 1. Thi jo hamare ghar mein nishani rasool ki zainab rida mein apni jise paalti rahi uth uth ke jisko chumte rehte the raat bhar haye shabbir jee rahe the jise dekh dekh kar us chehre ke kya khaak mein bhar jaane ke din the 2. Pyaase ko maar kar bhi na zalim ne dam liya sar iska mere saamne usne qalam kiya araam thodi der bhi paaya na khaak par haye phir se shuru hogaya is laal ka safar bazaar mein kab chaand sa sar jaane ke din the 3. Aaya ye jab jaha'n mein phuphi ne khushi khushi azaad ek kaneez thi ki sheeri naam ki aur saath saath ye bhi kaha tha na fikr kar haye baraat leke aaungi iski mai tere ghar pohcha waha na uske jidhar jaane ke din the 4. Haye lag jaye na nazar mere yusuf jamal ko dekha nazar na bhar ke kabhi apne laal ko hai gesuo mein khaak koi saaf to karo haye zainab ki mai kaneez hu insaaf to karo barchi kaha wo dil mein utar jaane ke din the 5. Nazuk badan pe zakhm na aane diya kabhi maine na usko dhoop mein jaane diya kabhi naize pe sar hai aaj badan jalti ret par haye pardes mein ye aake nahi thi mujhe khabar mehnat ki kamayi yu bikhar jaane ke din the 6. Waada kiya tha sar pe jo sehra sajaunga ghabra na sughra mai tujhe lene ko aaunga dehleez par hai baithi takallum wo ghum gusaar arey cheh maah se hai usko baradar ka intezaar pardes se ye laut ke ghar jaane ke din the kya mere jawa'n laal ke mar jaane ke din the..(2) haye kadiyal jawan akbar mera kadiyal jawan akbar