لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Sar e abbas aata hai

Mir Hasan Mir2017
ShiaNohaLyrics
Abbas haye abbas..(3) Sar e abbas aata hai..(3) Kaha zainab ne ye rokar, sambhalo bibiyo chadar Sar e abbas aata hai Bula laaye sakina ko..(2), koi zindaan se jakar Sar e abbas aata hai kaha zainab ne... 1. Ye ghairat ka khuda hai uski ghairat ka takaza tha khula sar dekh ke naize se jo ye sar girata tha nahi hai paas gar chadar to rakhlo haath hi sar par Sar e abbas aata hai 2. Bhara hoga lahu aankho'n mein uski khud hataungi mai bachpan ki tarah se bhai ka chehra dhulaungi agar mumkin hai to dede koi paani mujhe laakar Sar e abbas aata hai 3. Haaye.. mujhe uthna padega bibiyo tazeem ko uski mai maa ummul banee ki simt se ghazi ko chumungi arey sambhale sar koi aun o mohammad ke yaha'n aakar Sar e abbas aata hai 4. Isi ehsaas se usne nazar apni jhukayi hai use maloom hai ye kitna ghairat mand bhaai hai chupaye kis tarha zainab pade hai neel shano par Sar e abbas aata hai 5. Mila pani use pucha to kya batlayegi zainab bhala uski bhatiji ko kaha'n se layegi zainab nigahein uski dhundhegi sakina ko yaha'n aakar Sar e abbas aata hai 6. The sabki jholiyo'n mein apne apne laadlo ke sar Roqaiyya, umme laila, umme farwa, madar e asghar uthi kehte hue har maa se apne laal ka rakhkar Sar e abbas aata hai 7. Takallum shamiyo ki aurte bhi roti jaati hai haye, ali ki betiya'n jaldi se zakhmo ko chupati hai khadi hai haath phailaye hue khud zainab e muztar Sar e abbas aata hai..(2) haye abbas, haye abbas, haye abbas