لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Yeh Karbala hai

Mir Hasan Mir2017
ShiaNohaLyrics
Allahumm-ar-zuqna ziyarat al hussain..(2) Fi fuaadi karbala, wan-nidai karbala Karbala awaaz meri, dil mera hai karbala karbala, karbala, karbala..(6) Yaha'n sambhal kar qadam uthana yeh karbala hai, yeh karbala hai..(2) Yeh baat hargiz na bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai Karbala karabala karbala 1. Jahan e sabr o reza yehi hai nida e  sabr o reza yehi hai yaha'n pe aake hai chalke Mehdi(a.t.f.s) Behisht e zahra ye sar zamee'n hai yaha'n hai zahra ka aana jana yeh karbala hai, yeh karbala hai 2. Duaein denge hussain tumko yaha'n pe aansu agar bahaye yaha'n pe beti ne bewatan ki sitamgaro se tamache khaye yaha'n pe khushiyo ko bhul jaana yeh karbala hai, yeh karbala hai 3. Yaha'n pe guzri hai wo qayamat mila na usko sukoon ab tak ridaein chinne ke ghum mein abid lahad mein rota hai khoon ab tak yaha'n pe hargiz na muskurana yeh karbala hai, yeh karbala hai 4. Yaha'n pe hurr bhi tha hurmala bhi kitabe hasti ko padhke dekho sada e halmin jo aa rahi hai tum is taraf ho ya us taraf ho tumhe amal se hai ab batana yeh karbala hai, yeh karbala hai 5. Kahi'n pe qasim hue hai tukde kahi'n pe zee'n se gire the maula kahi'n sakina sumo se lipti kahi'n pe asghar ne teer khaya yahi'n ghareebi ka hai thikana yeh karbala hai, yeh karbala hai 6. Sawari aayegi ek waha'n se najaf ki janib nigaah rakhna jab aaye shame ghariba'n jis dum ali ko zainab ka pursa dena tum aansuo ke diye jalana yeh karbala hai, yeh karbala hai 7. Kisi ke dil mein lagi hai barchi kisi ke baazu kate yehi par haye ali ki beti ke kitne yusuf lahu mein doobe hai is zamee'n par luta hai sadaat ka gharana yeh karbala hai, yeh karbala hai 8. Rahe kahi'n bhi jaha'n mein jakar hussain wale ye jaante hai hum ehle matam ke dil takallum yaha'n ki mitti se hi bane hai yaha'n hai wapas palatke aana yeh karbala hai, yeh karbala hai