لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Baba tumhare baad

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Haye, sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad..(2) darbaar jaa rahi hu mai baba tumhare baad sadme utha rahi hu mai baba tumhare baad 1. Baba ye fatima pe musibat ka waqt hai ye marhala kathin hai qayamat ka waqt hai khutba suna rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 2. Koi mujhe bataye ke kya tha mera qusoor sadma hai ye ke shehr ki aabadiyo'n se door aasu baha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 3. Baba tumhare baad ye mujhpar sitam hua mohsin mera shaheed hua wa musibata ye ghum utha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad 4. Baba ghareeb beti ki ghurbat to dekh lo ummat ne haq nahi diya binte rasool ko ye ajr paa rahi hu mai baba tumhare baad 5. Ummat ki har naqaab ko rukh se hata ke aaj darbaar mein laeen ke khutba suna ke aaj haq ko bacha rahi hu mai..(2) baba tumhare baad