لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Chacha mai aapki turbat

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Haye chacha abbas..(3) Haan.. arey jab dafn karne aaye, tane paash paash ko abid pukare dekh ke ghazi ki laash ko chacha mai aapki turbat banane aaya hu sakina ab bhi hai pyaasi batane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) sakina ab bhi hai pyaasi batane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 1. Batau kaise chacha kya guzar gayi hum par har ek shehr mein maare gaye hame patthar thi maaein phupiya mere saath aye ali ke pisar ye saari zulm ke qisse sunane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 2. Haram ko chodke kufe se aa raha hu chacha bata gay hai tumhari wasiyatein baba wahi ho qabr chida tha jaha'n pe mashkiza kiya tha sheh se jo waada nibhane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 3. Hai teen roz se laashe pe dhoop ka saaya ye haal dekhke rota hai khoon dil mera ghareeb hu mai kafan tumko de nahi sakta haye tumhari laash ke tukde uthane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 4. Sakina raah mein naake se gir gayi thi abhi wahi hai taaza riwayat kamar pe likkhi hui hai jaari khoon jo is waqt aydiyo'n se meri laee'n se khake abhi taaziyane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 5. Tumhare saamne aati hai sharm kehte hue ye baat karta bhala kaise saamne unke abhi hai door yaha se bani asad wale haye, phuphi ki chinn gayi chadar batane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 6. La'ee ne bachhi ke gauhar ko aise cheena tha giri zamee'n pe sakina mai khoon rota tha wo jis zameen pe kaanto'n se khoon tapka tha wo khaak rakhne tumhare sirhane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 7. Baghair inke tum utre the zeen se kaise haram to lut gaye ye baazu kat gaye jab se pade the door ye laashe se aapke kabse kate ye baazu badan se milane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2) 8. Banake qabr takallum wo bola ro ro kar yaha'n pe aayenge ab zaereen shaam o sahar jale khayam ki rakh kar lahad pe khaak magar haye, mai pehla farsh azaa ka bichane aaya hu chacha mai aapki turbat banane aaya hu..(2)