لَا إِلٰهَ إِلَّا الله مُحَمَّدٌ رَسُولُ الله عَلِيٌّ وَلِيُّ الله

Zulfiqar IconShiaNohaLyrics

Kazim ka janaza hai

Mir Hasan Mir2018
ShiaNohaLyrics
Ya baab e hawaej maula..(6) Haye imam kazim imam..(2) Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(3) Baghdaad ke qaidi par..(2) zindaan bhi rota hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 1. Is dard ne turbat mein sajjad ko tadpaya zindaa'n se nikal kar bhi azaad na ho paya hai pehla janaza jo zanjeero mein jakda hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 2. Haye zanjeeero ko takti hai shano ko hilati hai mayyat ko kabhi apni godi mein uthati hai ek haath hai pehlu par lagta hai ye zahra hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 3. Zarre bhi lahu rokar rudaad sunate hai qadmo'n ke nisha'n iske zindaa'n mein batate hai ye naz'aa ke aalam mein kis tarha se tadpa hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 4. Jo log guzarte hai aapas mein ye kehte hai gharwale to yasrab mein is qaidi ke rehte hai phir iske janaze par ye kaun za'eefa hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 5. Kehti hai koi bibi hai waqt musibat ka ab jald madine se aaja aye raza aaja begoro kafan kabse beta tera baba hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 6. Haye har roz hi jaati hai wo turbat e zahra par jakar waha'n kehti hai masooma e qum rokar daadi mere baba ko kya aap ne dekha hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 7. Shabbir ki ghurbat ka nauha ye sunate hai sukhe hue lab uske ummat ko batate hai isne bhi dame akhir paani nahi paaya hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2) 8. Ghurbat hai takallum ye shabbir ki ghurbat si ek beti hai yasrab mein sughra ki tarha iski is waaste mayyat ka rukh sue madina hai Mazduro'n ke kandho'n par kazim ka janaza hai..(2)